“Working mein Ustaad aur Hkr ka zaviya e Nazar “ Ustaad ka kaam hkr ko is taraah se rasta dikhana k wo dunia ki har cheez ko badlay huay zaviya e nazar se dekhnay lagay.. Us ka har cheez ko dekhnay ka zaviya e nazar Allah k ehsas se jurrnay lagay.. Kyun k hum jab dunia mein rehtay hain to nazar dunia aur dunia ki kaamiyabion per, status per, shohrat per, raabton per hoti hai… Ustaad yehi sab to set kraata hai hkr ko is sab ko haq se aur haqeeqat se jorrna aur us haqeeqat ki roshni mein sab dekhna sikhaata hai… Ustaad apnayRead More →

“Worker ka apnay hkr se impress hona” Baaz auqaat hum kisi hkr ki ilmi qabliyat ki buniyaad per bhi us per garift mazboot nahin rakh paatay… Hum andar se mehsoos krtay hain k iski ilmi behas aur sawaalon ka jawaab aur daleel hmaare paas maujood nahiin…. Is liay yahaan agar worker apnay markaz se jurra hogaa, uska yaqeen mazboot hoga to wo taanka laga k baat karay ga…. To Allah us se wohi baat kraye ga jo us moqay o mehal ki munasibat se darust hogi…. Kyun k Wo jaanta hai k us waqt kyaa theek hai.. Hum jinkay nokar aur ghulaam ban k jinkayRead More →

“Worker k dil ka Markaz se jurray rehnay ki ehmiyat” Kisi bhi faani shay ka dil per zaroorat se zyada asar hona aur uska eham hona dunia mein phansna aur impress hona hai.. Is liay worker agar us waar ko pehchan le, uskay andar haq ki power , markaz se jurray hona us k dil ko dunia ki kisi khoobsurti shay se mutaasir nahin karta .. Uski nisbat apnay “markaz” apnay “ek” se hoti hai….. Wo usi se impress apni raah per chalta hai…. Dil ka duniyawi jaal mein phansnay se bachna us k markaz se jurray rehnay ki wajah se hi mumkin hota hai…Read More →

“Worker k dil ka ehsas zinda hona chaiye” Working mein sab se qeemati cheez ehsas hai , jis lamhay mein ehsas murda ho jata hai, yun samjhein k us lamhay mein na working hoti hai aur naa hum worker hotay hain…. Kyun k working mission hai… Haq k allam ki sarbulandi ka , ummat ka dard le kr ummat k liay falaah ki raah aasaan karnay ka…. Aur dard le kr hi ye raah asaan ki ja sakti hai.. Aur dard ehsas hai aur ye dard wo hi worker le sakta hai jiska ehsas zinda hai… از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علمRead More →

“Working aur apni qabliyat per nazar” Baatil ka ek waar ye hota hai k jab case attatch ho jaye to yahan humari nazar apni koshish aur qaabliyat per chali jaati hai k jesay ye sab kaam to hum apni qaabliyat ki binaa per kar rahay hain.. Hum ye bhool jaatay hain k hmaari kya auqaat k hmein Allah k raastay ka pata ho ye to Allah ka khaas karma hai k Us ne chun liya aur apni raah per chalaaya aur apnay bandon ko hidayat ki raah dikhaanay wala banaya.. Lehaza khaalis pan k liay ek worker ko hmesha yaad rakhna chaiye k usay chunRead More →

“Working sirf case chalanay tak mehdood nahin” Working sirf case le kr chalana hi nahin hoti balkay iska dairaa kaar bohat was’see hai.. Jesay k koi bhi ghalti kar raha ho to usay pyaar se samjhaa kr us ghalti k nuqsanaat yaad karwana, agar kisi ko pareshani mein dekha to usay Allah ka yaqeen dilana k wo pareshani door karnay wala hai.. Agar kisi ummati ko bhatakta dekhein aur isay zaban se manah karnay ki taaqat na rakhtay hon to wahan us ummati k liay dil se dua karen k Allah usay hidayat naseeb frmaye, ye sab working mein aata hai….. از : ❤ شاہRead More →

“Workers ka dosray Workers k Hkrs ko apna’na “ Worker her aik ky Hkr ko apna saky….. Yani chahy kisi bhi ustad ka Hkr rabta kry our us sy rehnumaie chahy to us ko guide krny main kanjusi na kry…. Sub ko piyar dyny ki kosish kry…. از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →

“Worker ka Nisbat jor ker working kerna” Working shuru krny sy phly aik eham bat ye bhi dhai’yan main rhni chahye ky dil main ye ehsas jaga layn…. Kay jis zaat ny hamay apny worker ki hysiyat sy bethaya hy wo hi hamary alfaz ko mo’asar bana kar umti ka bhala kerwany per qadir hay….. Yahan ham ny khud ko hi kafi nahi samjhna hota…. Balky hum ny her tarah sy nisbat jor ker working kerni hoti hy….. از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →

“Worker or by loss working” Aik worker k liye by loss hona aik or zavia sy bhi wazaie hy…. Kay jb koi case hamary pass aay to hum us k dard ko mehsoos ker ky us ky liye wahan sy nekalny ki kosish ker rahy hoty hyn, ky ye hamary sath attach ho jay….. Ub ye na’khalis pan hy… Yahan batil hamy khalis nahi rehny dyta hy…. Umati ka dard ly ker us dard ko mehsoos ker ky us ko mushkil ya paryshani sy is liye nikalny ki kosish krna ky is main us umati ka bhala ho….. Usy hidayat naseeb ho…. Ye khalis paanRead More →

“Worker ka ba amal hona” Aksar jub ham working shuru kerty hyn to koi aysi baat bhi ker jaty hyn jis per hum ny aik worker ki hysiyat sy kaam nahi kiya hota….. Is liye wo bat Hkr per asar nahi kerti hy…. Kiun ky wo amal sy khali hoti hy…. Laikin is surat main hum ye samjhny ki bajaye ulta down ho jaty hyn ky meri baat ka asar nahi hua….. Us waqt worker us point per khud kaam kry takay amal ki mazbooti us ky andar haq ki power ko barhaye our wo apny sath walon ko bhi us point per amal kiRead More →