“Worker ka Hkr kay dard ko feel kerna “ Worker ny aik Hkr ko youn apna lyna hota hy ky us ko lagy ky myry masly ya baat ko ehmiyat di jaa rahi hy…. Koi hy us ki sun’ny wala… Samjhny wala…. Or us k dard ko mehsoos ker ky us ky dard ko kam kerny ki kosish kerny wala…. Us ky liye Dua kerny wala….. Ye cheaz working main aasani kerti hy….. از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →

 “Ustaad ka hkr k hawaly sy zaati planning karna”  Aksar aysa hota hy ky hum kisi bhi haq ky rahi ky hawaly sy aik planning demagh main bna lyty hyn…. Kay ab ye is waqt main aysy safar main aagy nikal aay….. Wahan per hum us ki takleef nazar andaz ker dyty hyn….. Is baat ka ehsas bhi khatam ho jata hy ky hum ny to madad mang ker is ummati ko pareshani our dukh takleef sy nikalny ki koshish krni hy…. Jis ky liye wo hamary pass aata hy….. Yahan hamy khalis hony ki zaroorat hoti hy ky ham kisi terhan is ko aasaniRead More →

 “Worker ka Hkr ko be loss ho kr deal karna”  Jo case bhi is manzil ka rahi banta hy, worker ny us haq ky rahi ky sath by loss hona hota hy…. Jis lamha bhi Hkr baat kry byshak thori kery lykin usi waqt us ky sath by loss ho ker kaam kerna hota hy….. Ye sochy bagair ky ye point ko kitna samajh raha hy ya kitna us baat ko many ga…. Kiun ky jab hum ye janch’na shuru ker dyty hyn tu ye by loss piyar dyny main rukawat ban jata hy….. از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا”Read More →

“Worker ka hkr ko easy level per la ker baat khulwaana”  Jub koi Hkr aata hy or ustad ky sath attach hota hy to wo us sy khul ker bat nahi ker sakta… Byshak ky us ka koi masla bhi ho…. Laikin jub tak us ko aik aitmad or apnaiyat mehsoos nahi ho gi tab tak wo khuly ga nahi…. Piyar dyna… Apnaiyat ka ehsas dyna… Aitmad or waqt dyna… Ye cheezain khud ba khud andar khulwati hyn….. Is sy result ziyada acha aata hy…. Bajaye is ky ky hum kahen ky jub tak tum khul ker nahi batao gy hum kuch nahi ker sakynRead More →

 “Worker ka hkr ko bina zabardasti kiay uska andar khulwana”  Working ky hawalay sy aik our bohat hi eham baat ye hy ky hum ny kisi per zabardasti kuch bhi musalat nahi kerna hota…. Bal’ky usy wohi kerny dyna hota hy jo or jitna wo chahy….. Jitna wo aap per apna aap khool raha hy utna un’hy us points per tips dyn….. Aysa kerny sy Hkr aap ky sath yaqeen ky ba dhan main bandhata jaye ga….. Usy yaqeen ho jay ga ky yahan her tarah sy mujy rehnumaie milti rahy gi…. Youn wo our points khud baa khud khoulta jaye ga….. Kiun ky hamRead More →

“Worker k andar haq ki power ka apny sath honay per yaqeen hona”  Worker ky andar aik ehsas aysy bhi ho… Kay zahir main hum akaily nazar aa rahy hoty hyn …. Laikin andar sy hum akily nahi hoty…. Balky hamary sath bin daikhy Haq ki power hoti hy….. Us manzil ki lagan our janoon ki power hoti hy…. Jis manzil ki chah main ham by loss working kr rahy hoty hyn…. Andar ummat ky dard ki power hoti hy ky jis raah per mujy chuna gya main bhi baki umation ko is raah per lany ky liye koshish krta rahoon ga…. Ye ehsas bhiRead More →

 “Worker ka ‘main’ per nahin balkay ‘TU’ per yaqeen hona” Working kerty huye kabi bhi sabar ka daman hath sy na chutny paye…. Worker ny aala zarfi ka muzahira kerna hota hy our jb hum khud apni manzil ky sath jury hon gy to andar yaqeen kay aik khas level per ho ga…. Kay main tanha nahi hoon…. Bal’ky myry sath “Malik” hyn …. Wohi meri is power ka zariya hen…. Jo ky her mushkil main mery kaam aaye gi…. Kiun ky jab hamara “Wahan” tanka mazboot ho to sabar ka daman nahi chut’ta….. Haq ki raah sabar ki raah hy… Bardasht ki raah hy….Read More →

“Worker ka apni zaat per kaam krne ki ehmiyat”  Aik worker ki khud apni zaat per working bhi aesi mazboot ho…. Kay aany wala wo andar ki chamak mehsoos kerty huye usy apnany ky shouk main aa jay…. Yani hm jahan bhi hon jis b andaz main hon, kaheen rehnumaie ker ky ya koi masla discuss kr ky wahan per working ki gunjaish zaroor nikal aati hy….. از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →

“Worker ka apnay hkr ko usi kay andaaz se aagay lana”  Working main aik cheaz aesy bhi madad kerti hy ky jo jis andaz main aana chahy usy waisy hi lany ki kosish ker sakty hen….. Jesy her koi pareshani main hota hy, koi rishty ya shadi shudah zindgi ky hawaly sy…. Koi parhaie ya nokari ky hawaly sy mushkil main hota hy….. To aik mission worker ki hasiyat sy khud tak aany waly ky andaz ko ehmiyat dy ker madad mang ker dua tak laya jaa sakta hy…… Yani ky jis ka jo kaam ho us ko usi hawaly sy Allah ka ehsas ourRead More →

“Worker ka apnay andar ki power per yaqeen hona”  Working main apny andar ki power bhi bohat ehmiyat rakhti hy… Kay agar hm ny kisi ko haq baat kahi to aksar aysa ho jata hy ky samny waly ko wo baat pasand nahi aati hy…. Lakin yahan per aik worker hony ki hesiyat sy aap ny khud ko mazboot rakhna hota hy….. Samny waly ky rawaiye ki parwah kiye bina usy by loss piyar dyna hota hy…. Us ki baton per galt soch rakhny ki bajaye masbat andaz main khàry rehna hota hy…. Or her hall main Haq bat ko hi Haq kehna hy…. ازRead More →