*~Namaz Masawaat Ka Dars Hy~* *Namaz mein ijtamaiyat* sub namazi aik imam k peechy aik qibla ke taraf munh kr k aik khuda k samny jhuk rahy hoty hein maloom hoa k sb ka maqsad e zindagi aik he hy… is maqsad k hasool k leay sb ko mil jul kr rehna ho ga…. is leay deen islam ny rehbaniyat ke purzor mukhalifat krty hoay farmaya k, “or rehbaniyat yani dunia ka chor daina ye unho ny nae baat nikali, ham ny in pr farz nai ki” Deen islam ny waziha alfaz mein insaniyat ko ye paigham Allah ka pohanchaya hy k logo! Allah ta’alaRead More →

      *~Namaz Mein Qibla Ki Taraf Tawajah~* Namaz mein qibla ki taraf tawaja krny sy markaziyat or wahadat naseeb hoti hy agr charon taraf namaz parhny ki ijazat hoti to har shakhs ka rukh juda juda hota, na jamaat ho sakti, na imam hota, na ummat mein markaziyat hoti har taraf intashaar he intashaar hota. Agar bilfarz qibla ki simt muntakhib na ki jati to namazi k leay ekathy namaz parhna mushkil hota insan preshani ka shikar hota. jazba Muhabat mein is baat k takaza hy k ya to Mehboob samny ho ya Mehbob ki koe nishani samny ho ta k dil ko sakonRead More →

*~Namaz Ka Aaghaz Takbeer E Tehreema Sy~* Dunia k baadshahon ka yeh dastoor hy k jb wo awaam k samny jalwa afroz hony lagein’ Tou pehly majma ikatha hota hy phir baadshah aany wala ho tou aik karinda ounchi awaaz sy kehta hy Baa adab…. Baa mulahizaa…. Hooo shyaar…. Yeh alfaaz sunty he sb log moadab ho kr istaqbaal krty hein. Namaaz mein monineen k samny Zaat ILAHEE khud jalwagar hoti hy… Lehaza..!! Namaz shuru hony sy pehly sb namazi safain bana kr saleeqy tareeqy sy khary ho jaty hein pihr Imam buland awaz sy ALLAH O AKBAR k alfaz kehta hy ta’k Azmat ILAHEERead More →

*~Takbeer K Waqt Hathon Ka Kanoon Tak Outhana~* Hath kanoon ki loo tk is leay uthaey jaty hein ta’k qoul o fael k darmiyan mutabiqat ho jaey. Zaban sy ALLAH O AKBAR keh kr Allah ta’ala ke shan ka izhar kia or donoo hath kanoon ki loo tk outha kr is k aali makaan hony ka ishara kia…. Pas hamara Parwardigar bara Aali Shaan or Aali makaan wala by. Insan kisi cheez sy la ilmi zahir krny k leay kanoo ko hath lagata hy… Wakiaa afak mein Sayida Ayesha r.a k baary mein Piary Aaqa S.A.WW ny Sayida Zainab r.a sy tehqeeq krni chahi’ toRead More →

*~Namaz Mein Hath Bandh Kr Khary Hony Mein Hikmat~* Adalat mein judge k samny mujrim ko paish kia jaey to hath hathkarion sy bandhy hoty hein. Momin namaz ke halat mein apny ap ko gunahgar mujrim Ke tarha samjhta hy or Shahenshah e Haqeeqi k samny hath baandh kr khara hota hy. Yahi adab k ziada qareeb hy ta’k reham ke apeel manzor ho jaey. Ihsas Atta Ho.Read More →

*~Namaz Mein Sana Parhna~* Jb kisi shakhs ko Darbar e Shahenshahi ke ijazat mil jaey to wo guftagoo ke ibtada mein chand tamheedi kalmaat k zariy Baadshah k alqaab o adaab biyaan krta hy San’na inhi alqaab o adaab ka majmoa hy.. Faqat alfaz k tarjmy pr ghour krein… “Ya Allah Tere Paki biyaan krti hon k Too har aib sy pak hy har buraee sy door hy. Jitni tareef Ke batein hen or jitny bhe kabil madha amour hein wo sb Tery leay sabit hein. Tera Naam Babarkat hy aisa babarkat k jis cheeze pr Tera Naam liya jaey Wo bhe Babarkat ho jatiRead More →

*~Namaz Mein Sorat Fateha Ya Alhamd Sharif Parhna~* Namazi sanaa parh kr tamhidee kalaam kr laita hy to phir aamdam barsary matlab k tour par apni faryaad bazabita tour par paish krta hy.. Surat Fatihaa is ka haseen or anmol namouna hy ye bandy or Allah k darmiyaan ham kalami ka shahkaar hy… *SORAT FATEHA PARHNY Ka Maqsad* 1. Apny kadeemi namak khawar hony ka aitraaf. 2. Allah ki tareef biyan krna kbsub tareefein Allah k leay hein jo jahano ka Parwardigar hy. 3. Sarkaar Aliaa k Mehrbaan hony ka itraaf krna. 4. Apni be basi or Allah k ba ikhtiyar hony ka aitraaf krna.Read More →

*~Sorat Fateha K Sath Sorat Milany Ki Hikmat~* Surat Fatiha parhny sy namazi ke darkhawst qabool ho gi. Adalat Aliaa ny pichli galtian maaf kr dein… aainda gunah na krny ke talqeen ki. or chaha k Quran majeed ke tilawat sy dastor ul amal sun lo. is leay Quran Majeed dastoor ul hayaat hy, zabita Hayaat hy bal’k pouri insaniat k leay Aab e Hayaat hy. Ihsas Atta Ho.Read More →

*~Sajda Krny Ki Hikmat~* Namazi jb qouma mein gunahon k bojh sy soubakdosh hoa to Mola ke inayaat e khasa ny is k dil ko ehsaan mandi or ihsas e tashakr k jazbat sy bhar diya. pas Momin fart e muhabat mein apny Mehboob e Haqeeqii k Qadmon mein ja para… Hazrat Molana Yahya Sahar napori r.a lamba sajda krny k aadi thy kisi talib ilm ny poucha k itna lamba sajda krny ka kia matlab hy? Aap ny farmaya k mujhy sajda ke halat mein youn mehsois hota hy k goya main ny Allah ta’ala k qadmon mein sar rakh diya hy… mera sarRead More →

*~Jalsa Or Qouma Mein Khary Hony Mein Kia Raaz Hy~* Qouma kehty hein rakoo k bad thori dair k leay qiyaam ke trha khara hona or phr sajdy mein jana.. is mein hikmat yeh hy k rakoo or sajdy ka maza juda juda ho jaey. Dono mein waziha or numayan farq ho jaey. agar bilfarz rakoo sy he sajdy mein chaly gay… rakoo sy wapis qayaaam ke taraf aana or phr sajda krny mein dono amaal aik dousry sy numaeyan ho gy. sajdon k darmyan thori dair bethny ko jalsa kehty hein. jalsa mein bethny ke waja sy pehly sajdy k baad dousry ka mazaRead More →