*~Lamba Qayaam Afzal Ya Sajda~* Taveel qayaam ke fazeelat is leay hy k momin is mein qir’rat kr raha hota hy or qir’rat Quran Majeed tamam zikr o azkaar pr fazeelat rakhti hy. Hadees pak k mutabik ,”Namaz mein parhny waly shakhs ko har harf k badly 100 nakiyan milti hein 100 gunah maaf hoty hein or janat k 100 darjy buland kiye jaty hein. Allah Rabul Izat qari ka quran nehayat tawajha sy sunty hein. Taveel sajdy ke fazeelat is leay hy k momin apny nafs ko pamaal krta hy pyshani khak pr tika daita hy… Pas Allah ta’ala k qareeb jata hy. QuranRead More →

*~Sajdy Mein Jany Ki Tarteeb Khas Kion~* Shariyat ka hukam hy sajdy mein jaty waqt namazi pehly apny ghutny zameen pr tikaey phir hath zameen pr rakhy phir pyshani zameen sy lagaey bila uzar is k khilaf krna sakht makrooh hy. sajdy sy uthty waqt is k baraks uthein…. yani pehly sar uthaein ‘ phir hath’ phir guthny’ phir khara ho jaey.. marfat is ke yeh hy k sajdy mein jana moat or fana ke surat hy jb k qayaam mein khara hona…. zindagani ke surat hy.. Pas sajdy mein jaty waqt ke tarteeb ko pasand kia gia or qayaam mein khara hoty waqt zindaganiRead More →

*~Arkaan e Namaz Ko Khas Tarteeb sy Ada Krny Ka Raaz~* Hadees pak mein hy k, “Allah ta’ala par wajib hy k sar buland krny waly ko sar nigoun kry or jo Allah ta’ala k leay sarnigoun ho Allah ta’ala usy bulandi atta krta hy” is asool k paish e nazar momin ny jb namaz ke niyyat bandh kr qayaam kia to qayaam bulandi hy pas Allah ta”ala ny rakoo mein jhukny ka hukam diya. Momin ny rakoo mein jhuk kr aajzi o lahajat sy (pak hy mera Rab jo Azmat wala hy) kaha to Allah ny is tawazo ke waja sy isy phir qoumaRead More →

*~Namaz Ko Mukamal Krny Wali 12 Cheezain~* Sufiaa kehty hein k namaz mein 12 hazar cheezain hein jin ko Allah ny 12 cheezon mein taqseem farmaya hy….. in 12 ka khiyal rakhna zaroori hy ta’ k namaz mukamal ho jaey or is ka poora faida hasil ho. 1… ilm 2… Wozou 3… Libaas 4… Waqt 5… Qibla ke taraf rukh krna 6… Neeyat 7… Takbeer Tehreema, 8… Nimaz mein khara hona, 9… Quran pak parhna, 10.. Rakoo 11.. Sajda 12.. Attahayaat mein bethna…. *In 12 mein hr aik k 3 juzv hein* 1… ILM a. Farzon or sunton ko alehda alehda maloom kry, b. wazooRead More →

*~Namazon Ki Rak’atein 2′ 3 or 4 Kion Hein~* Allah ny insan ko hawaas e khamsa ata farmaye ta’k dunyavii’ maadii’ jismani naimaton sy lutf andoz ho saky phir in naimaton ki shukr guzari k leay 5 namazain ata farmaein or namazoon ke rak’atein mutayen farmaen.. 1… *QUWAT E SHAMA* is sy khushboo or badboo ka pata chalta hy kion k is sy 2 kaam leay jaty hein… lehaza fajr ki 2 rak’atein farz hoe ta’ k is naimat ka shukria ada ho saky.. 2.. *QUWAT E LAMSA* is sy 4 kaam leay jaty hein… 1..sardi ka pata chalta hy. 2…garmi ka pata chalta hy.Read More →

*~Namaz Mein 7 Farz Kion Hein~* Frishty apni ibadat k aitbaar sy 7 jamaton mein taqseem hein.. 1. Arsh e Illahi or bait ul mamoor ka tawaaf krty hoay tasbeeh , tamheed or takbeer kehna. 2. Momino k leay astagfaar krna in k leay magfirat ki dua krna ya in ki duaon pr ameen kehna,. 3. Quran Pak parhny walon ka Quran sun’na ya majalis zikr or waaz o naseehat mein shamil hona. 4. Qayaam ki halat mein ibadat krna.. 5. Rakoo ki halat mein ibadat krna.. 6. Sajdy ki halat mein ibadat krna.. 7. At’ta hayaat ki halat mein ibadat krna Allah ny namazRead More →

*~Fajar Ki Namaz~* Hazrat Aadam a.a ko jb janat mein utara gaya tou wo raat ka andhaira, wehshat or tanhai ko daikh kr boht khouf zada hoay… sari raat roty hoay guzar gi.. jab taloou subah sadik k waqt andhaira khtm hoa to 2 rakaat shukrany k ada keay…. Allah ny Ummat e Muhammadi S.A.WW pr ye namaz farz kr di.. ta’k jo shakhs namaz e fajar pabandi sy parhy ga wo qabr k andhery sy amaan paye ga. Hazrat Aadam a.a ny museebat sy nijaat pany pr shukrany k nafal ada keay…. subh ka waqt ehl e dunia ghafleen k leay araam ka waqtRead More →

*~Namaz e Fajar Or Aap SAWW ka Tareeqa~* Namaz e fajar ka waqt subah sadiq sy souraj nikalny tak hy. Jab souraj ka zara sa kinara bhe nikal aaya tou fajar ka waqt khatam ho gya. subah sadiq souraj nikalny ay taqreebn dairh pony do ghanty pehly hoti hy. subah sadiq hony k baad fajar ka waqt shuru ho jata hy or riza daar ka ous waqt sy khana peena haram ho jata hy. subah sadiq hoty ge tahajud ka waqt bhe khatam ho jata hy. Fajar ki namaz k leay Aap S.A.WW ka mamool tha k subah sadiq k baad pehly do rak’at sunnatRead More →

*~Zohar Ki Namaz~* Hazrat Ibrahim a.a ko jawani sy he Allah ke talash thee. chunachy sitaron ko asmaan pr jagmagaty daikha tou kehny lagy yeh mera Rab hy… jb thori dair baad chaand ko roshan daikha tou farmaya k yeh mera Rab hy. jb subh k waqt soraj ko taloou hoty daikha to farmaya yeh mera Rab hy yeh sb sy bara hy. jb soraj bhe dhalny laga tou aap ny farmaya…. “Main dobny walon ko pasand nahi krta” sorat Al-Inaam 72 phir frmaya “agar mera Mola hadayat na dy ga to main gumrah ho jaon ga” Soeat Al-Inaam: 77 Allah ta’ala ko Ibrahim a.aRead More →

*~Namaz e Zohar Ka Waqt Or Aap SAWW ka Tareeqa~* Zohar ki nama ka waqt souraj dhalny k baad shuru ho jata hy. Is ke pehchan yeh hy k soraj nikal kr jitna ouncha hota jaye ga har cheeze ka saya ghat’ta jaye ga jab saya ghatna khatam ho jaye tou wo waqt theekvdopehar ka hota hy. Is k baad jab saya barhny lagy tou ab din dhalna shuru ho gya isi waqt sy zohar ka waqt shuru ho jata hy. Baaz aaima k nazdeek jab tak har cheeze ka saya ous sy dugna na ho jaye namaz e zohar ka waqt rehta hy. zoharRead More →