Apni Khata Ham ziada tarr moamlat mein apni ghalti dhoondhnay or tasleem karnay ke bajaye doosron ko qasoor waar thehraanay mein jaldi kar daitay hein… Jab k zaat par kaam pr aashnai k is Safar mein nazar khud par rakh kr… *Har Gall Koun Bass Apnnrri Khata Aakh* K tor par tasleem krna hota hy. Yani har maomalay mein apni ghalti dhoondhni hoti hy or khud par kaam karna hota hy or jaisay dosray ke khata nazar aey tou faoran apna zaviya set kar k itni gehri nazar khud par karni hoti k andar sharminda ho jaey k nazar oudhar gae he kion the…. AjRead More →

“Zara Sochiye” Ham din bhar ke roz marra routine ke guftagoo mein kuch alfaz ka istamal musalal bina unn k maan’ni janay ya bina kisi ihsas k kartay hein. Maslan…. Bis’mi’Allah Jazak’Allah.. Insha’Allah… Subhan’Allah… Allhamdou’llilah….etc Or isi tara k or bht sy alfaz bhe hamari guftagoo ka hissa hotay hein jo ham os ka asal matlab ya ihsas k bina sirf aad’tan adda karaty hein. Aj ham share karen gay K… kia hamein in alfaaz k ma’ni sy waqif hein Or Kia ham in alfaz ko ada kartay hoay dil mein in sy moutaliq koe ihsas bhe rakhtay hein ya bina ihsas k aik aadatRead More →

 “Triangle” Dunia k moamlat koe Deen sy alug karna durust nahi… kion k ham ny har moamla Allah k hawaly sy he daikhna hy. Allah ny he hamein is mahol mein or in rishton k beech mukhtalif mamoolat o moaamlat or faraiz nibhanay ko rakha hoa hy. Jab bhe ham kisi bhe farz ya moaamlay ya rishtay ko one 2 one ke nazar sy daikhtay… amal kartay ya osay nibhatay hein k main or moaamla main or farz main or rishta tou agar waqti taor par nibha bhe lain tou os ka nateeja behtreen nahi nikalta… Kion k ham one 2 one mein zaahir syRead More →

Maaf Karo, Ta K Maaf Kar Deay Jaao Aaj jaiza lena hy k Kia ham apnay dil mein itni wussat rakhtay hein k kisi aisay shakhs ko maaf kar sakein jis ny zindagi mein bohat bar ham sy ziyaadti ke ho ya kisi tara sy bhe hamara haq mara ho… Ya kisi bhe khass maokay k hawaly sy os k rawaiye sy aap ka dil paryshan hoa ho…ya koe aik shakhs jo overall aap ke zindagi k leay paryshani ka bais bana raha ho… ya aaj kal koe aap ko tang kar raha ho…?? Agar maaf kar chukay tou bohat acha hy or agar nahiRead More →

“Chahat Ke Ghulaami” Zarorat or Chahat mein farq hota hy… Ham agar nafs ke ghulami kartay hein tou hamaray andar bohat se chahatein paida hoti rehti hein or ham oun chahton k hasool k leay faoran muta’harik ho jatay hein…. Ham faori taor par osay pora kar k nafs ke behtreen ghulaami karnay ka sabot daitay hein… Or is tara wo chahatein hamein apne ounglion par nachaye rakhti hein… Or in chahton ke ghulami k hathon majboor ho k naachtay nachtay ham her qadam apni Manzil say dour ho rahay hotay hein…. Aaj k din…. Aisi outhnay wali chahaton ko pakarrna hay…. Or share karnaRead More →

“Image Break Off” Image… apne saakh ko kehtay hein… agar is k matlab ko zara or wazeeh karein tou ye ho ga k logon ke nazar mein apna aap kae zavion sy or falan falan tara sy barqaraar rehnay ke khwaahish image kehlati hy. Kion k ham ziada tar apne zaat k kisi bhe pehlu mein phanss kar apna aik khas image logon k samnay maintain rakhna pasand kartay hein. Or os image ko barqaraar rakhnay k leay hamein har tara k masaail o mushkilaat ka bhe samna karna parrta hy par phir bhe ham apne os saakhh ko bachnay ke sar torr koshish kartayRead More →

“Standard Break Down” Standard matlab k… hamara mayaar… Jo image say ziada dair paa hota hy. Or ham isay hamesha ya lambay arsay tak apanay kee koshish krtay hain. Ham ny apne zindgi mein bohat sy hawaloun sy mukhtalif standards apna rakhay hotay hein. Ye hamaray standards bhe dar asal zaat ka he outh outh k aana hota hy. Aj apnay apnay standards share karen gay k ham ny kahan kahan or kaisay or kis kis level k standards na sirf apna rakhay bulky ounhein maintain rakhay hoay hein. Or Aaj k din k hawalay sy bhe apna kor aik standard share karna hy kRead More →

Niyat Dar Niyat Niyat kisi bhe kaam k iraday ko kehtay hein. Har amal k peechay bazaahir aik wazeeh niyat hoti hy. Is bazahir niyat k peechay aik posheeda irada bhe chupa hota hy jis sy baaz aoqat ham khud la ilm hotay hein… Os chupay iraday ko niyat dar niyat kehtay hein. Agar ghaor karen tou asal mein wohi hamare sachi niyat hoti hy. Aj apnay kisi bhe amal k hawalay sy apne bazaahir niyat…. or or bazaahir niyat k peechy chupi niyat dar niyat ka jaiza len gay or share karen gay k bazahir niyat kia thee or jab gherai sy jaiza leyaRead More →

“Setup Got Upset” Aik raaz ke baat bataoun… Pata hy jis banday k leay Allah apne qurbat or aashnaai ke raah kholta ja raha hota hy…. os k sath kia hota hy…??? Wo banda… Jo setup banaaey… Osay… Upset kar deya jata hy.. Isi hawalay sy aaj ham apna jaiza laitay hein… Or apne routine life k aisay moaamlaat share Karein gay k jahan jahan hamara apna banaya hoa setup… upset hoa… Or is setup k upset honay par Dil ke halat kaisi rahi or ham ny kaisay react keya…?? 2 points share karnay hein or is k hawalay sy apna point of view bheRead More →

“Maqsaday Hayaat” Maqsaday hayaat… jisay ham aim of life bhe kehtay hein. Har aik ka koe na koe maqsaday hayaat hota hy… jis k hasool k leay wo din raat har mumkin koshish karta hy. Apnay maqsaday hayaat k hasool k leay jab ham koshish kartay hein tou khud bakhud hamara har ihsas soch or amal osi maqsaday hayaat k tahet hota chala jata hy. Phir hamara koe ihsas soch ya amal maqsaday hayaat sy alag nai hota. Aaj apna jaaiza laina hy k ham kisi maqsaday hayaat k hasool k leay he apnay din bhar ke routine mein koshish kar rahay hein Ya binaRead More →