Mera Allah Barra Ya Mera Masla Ham Allah’hu”akbar ko lafzon mein tou barray achay sy adda karty hein… or kehtay hein k Allah sab sy barra hy… par ye aisay yaqeen ban k sab k dillon mein nai outra hoa hota… Kion k jaisay he koe masla ya pareshani ban jaye tou ham aisay ghabra jatay hein k apna masla he sab sy barra lagnay lagta hy… Or aisay mein maslay ka hal namumkin nazar aata hy… Dil mein naumeedi or beyaqeeni ke kafiyat hoti hy or Allah’ho’akbar hy Allah dab sy barra hy yaad nai rehta… Agar hamara dil is yaqeen ko pakarr layRead More →

“Zaban” Zaban Hamare grift mein maoujud hamara aik hathiyar hy… Or Ab ye ham par depend karta hy k ham is say faida hasil kartay hein ya nuqsan… Aaj apnay din bhar ke routine mein jaiza lay k point share karnay hein k apnay sy wabasta logon k sath zaban par control or zaban k istamal sy aap ny Allah ke aashnaai or qurbat ke raah par faida haasil keya ya nuqsan. 1 point zaban par control ka daina hy k kaisay or kis situation mein aap ny zaban par control kar k osay apne grift mein rakha or is say moaamlay par kia asarRead More →

“Top 10 Chahatein” Ham duniya mein zindagi guzaartay hoay bohat se chahtein apnay andar paal rakhtay hein… Oun mein kae hamaray daaira e ikhtiyar mein hoti hein tou ham ounhein jitna kar saktay pora bhe kar laitay hein… Par kuch chahatein aisi bhe hoti hein k jo ham pori nai kar saktay or wo hamaray andar he chakraati rehti hein or ham oun par bohat soch bichaar or plannings bhe kartay rehtay hein. Or Kabhe aisa bhe hota hy k hamein sahi tara sy is baat ka pata bhe nai hota k asal mein ham chah kia rahay hein. Ham itna bhe apnay andar koRead More →

“Zaat Par Kaam” “*Topic – Ihsaan*” Sawal 1. Ihsaan kisay kehtay hein…?? Ihsaan k baray mein Koe Qurani Ayat ya Hadees e Mubarika share karen…?? Dil sy Dua.   Sawal 2. Kia zindagi k moaamlaat mein aap ny kisi k sath ihsan ka moaamla rawa rakha..?? Practical share karein… Dil sy Dua.   Sawal 3. Aisai kia soch ya ihsas apnay andar baidar karein k… Jin ke waja sy ham bhe dosron k sath ihsaan sy paish aa sakein…?? Tips bataein Dil sy Dua.  Read More →

“Zaat Par Kaam” “*Topic-Moaafi*” Sawal 1. Moaafi ka mafhoom bataein… Moaaf krnay k baray mein koe Qurani Ayat Ya Hadees Mubarika share karein…? Dil sy Dua   Sawal 2. Ye jantay hoay bhe k Allah moaaf karnay ko pasand krta hy… Phir kin wajoohat ke bina par ham doosron ko maof nai kr patay…? Dil sy Dua     Sawal 3. Mafi kar daina hamaray leay Allah k rastay par kaisay faida mand sabit ho sakta hy…?? Dil sy Dua  Read More →

“Zaat Par Kaam” “*Topic-Bad Diyanti*” Sawal 1. Ap k kheyal mein … Bad dianti kissay kehtay hein…? Quran o Hadees sy wazeh karein…?? Dil sy Dua   Sawal 2. Ham kis kis moaqy or moamly mein bad diyanti ka irtakab kartay hein…? Dil sy Dua   Sawal 3. Ham bad diyanti ka irtakab kion kartay hein…? Wajoohat bataaein. Dil sy Dua   Sawal 4. Bad diyanti k nuqsanaat kia kia hein…? Dil sy Dua   Sawal 5. Ham kis tara bad diyanti sy bachtay hoay apnay maomlat, mamoolat or faraiz ke adaaigi ko diyanat dari sy nibha saktay hein…? Tips dain. Dil sy Dua  Read More →

“Zaat Par Karam” “*Topic-Zulm*” Sawal 1. Aap k kheyal mein… Zulm kia hota hy isay wazeeh karein..?? Dil sy Dua   Sawal 2.  Aaj apna jaaiza kain or share karen k… Ham kis kis tara sy apne he jaan par zulm kartay hein…?? Dil sy Dua   Sawal 3. Apnay ird gird maojood logon ka jaiza lein k… Ham dosron k sath kis kis tara sy daanista ya nadanista zulm rawa rakhtay hein…?? Dil sy Dua   Sawal 4. Hamaray aisay zalimana rawaiye ke kia kia wajoohat ho sakti hein…?? Dil sy Dua   Sawal 5. Ham zulm karnay sy khud ko kaisay bacha saktayRead More →

“Zaat Par Kaam “ “*Topic-Amanat*” Sawal 1. Amanat sy kia muraad hy…? Sawal 2. Amanat dari sy kia murad hy…? Sawal 3. Amanat k baray mein koe Qurani Ayat ya Hadees e Mubarika Share karen…!! Dil sy Dua   Sawal 4. Hamari zindgi hamaray pass amanat hy. Lekin kia ham isay Allah ke tarf sy de gae amanat samjhatay bhe hein ya issay apni malkiat jantay hein…? Ghor karen or is hawalay sy apnay ihsas share karen…? Dil sy Dua Sawal 5. Waldain k pass oulaad bhe Allah ke amanat hy… Is amanat ke hifazat or iske zimadari ko waldain kaisay behtareen tara sy addaRead More →

“Zaat Par Kaam” “*Topic-Moaafi or Taoba*” Sawal 1. Moaafi or Taoba mein kia farq hy… farq waazeh karein…?? Sawal 2. Moaafi or Taoba k baray mein Qurani Ayat ya Hadees e Mubarika share karein…!! Dil sy Dua Sawal 3. Moaafi… Or Taoba k leay Allah k samnay paish hotay hoay kia ihsas hona zarori hy…?? Dil sy Dua   Sawal 4. Aap k khiyal mein… Maafi mil janay ya Taoba ke qabooliyat ka andaza hamein kaisay ho sakta hy…?? Dil sy Dua  Read More →

“Zaat Par Kaam” “*Topic-Ehad Ya Wada*” Sawal 1. Ehad ya wada kia hota hy… mafhoom wazeh karein..?? Sawal 2. Ehad ya waday k baray mein Qurani Ayat ya Hadees e Mubarika share karein…?? Dil sy Dua   Sawal 3. Aap ke nazar mein… Kisi sy keya Ehad ya Wada nibhanay ko ham kitni ehmiyat daitay hein…?? Dil sy Dua   Sawal 4. Kisi sy keay hoay ehad ya waday behtareen saranjaam dainay k leay… Hamaray andar kia kia ihsas baidar honay chahiyein…?? Tips dain… Dil sy Dua  Read More →