“~*Shaaor E Ramzan*~” “Jannat ki Sale” Har cheez ka aik season hota hy. Phalon ka season jaisay garmiyon mein angoor, tarbuz wagera… Sardiyon mein meva jaat… Yun lagta hy k Ramzan ul Mubarik Allah ki traf sy bakhshish ka season hy. Jab kisi cheez ka Season ho tou phir wo cheez kam qeemat mein aasani k sath mil jati hy. Log kehtay hein k season mein gandum khareedi thi tou sasti thi or jab season guzar gaya tou wohi kitni mehngi ho gi hy. Tou maloom hoa k Season mein cheeze khareedni aasan hy. Bilkul isi trah Ramzan ul Mubarik mein jannat ki deal krniRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Golden Chance” Ramzan ul Mubarik Emaan Walon k leay Bahar ka Maheena Hota hy… Jis trah bahar k maheenay mein har traf Khushboo hoa krti hy, Darakht haray bharay hotay hein, Phool khilay hoay hotay hein, Baghon mein jaen tou fiza mehki mehki hoti hy kion? … Har banda kahay ga jee Bahar ka maheena hy. Har traf sabza dikhai dy ga, Har traf khushbo’ain hon ge, Fiza khushbo’on sy bhari hoi or Ladi hoi ho gi.. Is leay k wo Bahar ka Maheena hota hy. Isi trah Ramzan ul Mubarik ki Rehmat ka maheena hy. Is ki Subh mein Rehmat, IsRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Roza or Rohani Taraqi” Rozay ka asal bara faida ye hy k Insan ko Rohani Taraqi Naseeb hoti hy. Insan dar’asal 2 cheezon sy murakab hy. Aik Rooh or Dosra Jism… Rooh malkuti Sifaat ki Hamil hy or is ki Ghaza Aalam e Amer k Anwararat o Tajaleeyaat hein. Jism Hewani Sifaat ka Hamil hy. Or is ki ghaza zameen ki maadi asheya hein. Jis qadar ham Maadi ghizaen ziyada istamal krain gy Hevani sifaat berh jaen ge. Or jis Qadar maadi ghizaen kam khaaen gy hevani Sifaat kam ho kr malkuti yani Farishton jaisi Sifaat ka ghalba ho ga. Kion kRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Emaan ki Charging” Subhan Allah! Deen e Islam ny aisi Taleemat di jo Qayamat tak k har Taqazay ko pura krnay k leay Kafi, Dafi or Shafi Hein. Aaj duniya confrences or Seminaars ki batain krti hy. Allah k Mehboob (S.A.WW) Ny Aaj sy choda So saal pehlay aik tasavur dy deya tha k tum Sara Saal apnay kamon mein Mashghol raho gy… Koi San’at kaar banay ga koi Tajir or Koi Universities mein Professor banay ga. Tou koi hospitals mein Sarjan ,tou mumkin hy k apnay apnay kamon mein Masrofiyat ki wajha sy tumhara Emaani jazba thanda perh jaey… Or EmaanRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Salana Rohani Work Shop” Agar aik or Pehlu sy ghor karain tou yun lagta hy k Ramzan ul Mubarik ka Maheena Momineen k leay Salana Work Shop ki Manind hy. Allah Ta’ala jantay thay k ye Insan jab duniya k kamon mein lagay ga tou In mein itna Munhamik ho jaey ga k Hamain bhol hi jaey Ga… Ye jab gham e Rozgaar mein lagay ga, rupay paisay k chakar mein parey ga tou phir Ebadaat sy is ka dil hat jaey ga… Is ki Rohaniyat mein kami aa jaey ge, wo kaifiyat nahi rahay jo honi chahiye. Is leay Allah Ta’alaRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozy k Aadaab” Ulma ny rozy k 6 aadaab biyan kiye hein. *NIGAH KI HIFAZAT* Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k, “nigah iblees k teeron mein sy aik teer hy” jo shakhs Allah k khouf sy is sy bach jaye Allah ousy aisa emaan ka noor atta krty hein k jis ki lazat dil mein mehsoos hoti hy… bila wajah ghair mehramoo ko daikhna ya la’oo o la’ab ko ankhon sy daikhna na jaaiz hy. kam az kam rozy ki halat mein is baat ka dhiyan rahy k Allah ny jisy daikhny sy mana frmaya hy na daikhy. *ZABAN KI HIFAZAT* Jhoot,Read More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “SEHRI KHANY MEIN BARKAT HY” Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya, “sehri khany mein barkat hy” sehrii khany mein barkat yeh hy k is sy Allah k ehkaam ki bja aawri mein aasani or sahoolat rahy gi. OS ka hukm yeh hy k fajar k waqt sy roza shuru kro or maghrib k waqt khatam kro. Ab jis waqt sy roza shuru hota hy ous waqt agar Allah ki di hue ijazat sy faaida outha kr kha pee laity hein tou wo khaya piya din bhar aap k kaam aaye ga lakin agar aisa nai krain gy tou kamzori ho jaye gi. ChounRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “JALDI IFTAAR KRNY MEIN BHALAAI HY” Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya, “Log bhalaai par rahein gy jab tak k iftaar krny mein jaldi krty rahein gy” Yahood ka yeh dastoor tha k roza ous waqt kholty thy jab aasman par sitary chatak aaty thy or ous mein bhe jo aadmi jitni dair krta wo outna he ziada mutaqi or parhaiz gaar mana jata tha. Yeh goya oun k nazdeek is baat ki ilamat thee k yeh shakhs khany k leay betaab nai hy or kaisa zabt e nafs hy k k roza kholny ka waqt bhe ho gya phir bhe abhe naiRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “IFTAAR MEIN JALDI KRNY WALY ALLAH KO MEHBOOB HEIN” Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k, Allah frmata hy… “Mujhy apny bandon mein sub sy ziada wo pasandeeda hein jo iftaar mein jaldi krny waly hein” “IFTAAR K LEAY AFZAL CHEEZAIN” Hazrat Salman Bin Aamir r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya, “Tum mein sy koe shakhs iftaar kry tou chahiye k khajoor sy iftaar kry kion k is mein barkat hy or agar khajoor na mily tou pani sy iftaar kry k pani paak hy” Aap S.A.WW ka qaaida yeh tha kRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Teen Hissy Teen Darjy” Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k, “Yeh aisa maheena hy is ka awal hissa rehmat hy, darmiyani hissa maghfirat hy or aakhri hissa aag sy aazadi hy” Muhadseen kehty hein k rehmat, maghfirat or aag sy khulasi in teeno mein farq yeh hy k insan teen tarah k hoty hein… aik wo hin k ouper gunahon ka bojh ziada nai hota oun k leay shuru he sy rehmat or inaam ki barish ho jati hy. dousry wo jo mamooli darjy k gunahgaar hein oun k leay kuch rozy rakhny k baad oun rozon k badly mein maghfirat orRead More →