“~*Shaaor E Ramzan*~” “Sabar ka Maheena* Sabar k maani arbi lughat mein bandhny or rukny k hein. Is maqam par sabar sy murad hy apny aap ko itna bandhna or aisa zabt e nafs krna k insan Allah k ehkaam ki khilaf warzi na kry or Oss ki ita’at k daairy sy bahir na nikly. Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny isay Sabar ka maheena Qarar deya hy, Aap S.A.WW ny farmaya… “Wo Sabar ka maheena hy or Sabar ka badla janat hy” Sabar he ka swab jannat hy sy murad yeh hy k aik aadmi agar jannat hasil krta hy tou isi wajah sy hasilRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozay ka Badla” Roza Allah Ta’ala or ous k banday k drrmiyan aik khufiya muahida hy. Allah Ta’ala frmaty hein.. “Roza Mere leay hy or Is ka badla bhi mere zimay hy” Choun’k banday ny khaas mere leay roza rakha halan’k agar wo Chahta tou kuch khaa pee laita koi ousy rokny wala nai lakin ous ny mere leay sabar keya is leay ousy ajar bhi main khud doun ga… Baqi har qisam ki Ibadat ka sawab farishty likhty hein, magar roza k Bary mein frishty sirf yeh likhtay hein k ous ny roza rakha. Is ka ajar or badla qiyamat kRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Sari Umer K Rozy Bhe RAMZAN K Aik Rozy Ka Badal Nai Ho Sakty” Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny irshad frmaya k, “Agar kisi shakhs ny ramzan ka aik roza bhe chora bghair kisi rukhsat k or bghair kisi marz k tou agar wo sari umer k rozy bhe rakhy tab bhe wo ous ki qaza nai ho sakty” Yeh ramzan k rozy ki qaza ka sharaai hukm nai hy kion k qaza roza jo koe rakhy ga tou wo ous ka ada ho jaye ga lakin haqeeqat yeh hy k Allah k nazdeek ousRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Qaboliyat e Dua ka Maheena” Ye Allah Ta’ala sy mangnay ka Maheena hy. Lehaza is maheenay mein duaaon ka khaas ehtamam krna chahiye. Hazrat Abu Saeed Khizri (r.a) ki riwayat hy k Hazor Nabi Akram S.A.WW Ny Irshaad Farmaya… Allah Rab ul Izat Ramzan ul Mubarik k har din or har raat mein jahanum sy jahanumiyon ko bari krtay hein or Ramzan ul Mubarik har din or har Raat mein Allah Rab ul Izat har Momin ki koi na koi dua qabool Farma laitay Hein. Lehaza is baat ka khayal rakhna chahiye k koi bhi Ghari Qaboliyat ki ho sakti hy… IsRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Shifa’at ka Maheena” Ye Shifa’at ka Maheena bhi hy. Qayamat k din Nabi Kreem S.A.WW Shifa’at Farmaein gy. Qayamat k din Quran Shifa’at kray ga. Or Qayamat k din Insan ka Roza bhi is ki Shifa’at kray ga. Hadees Pak mein aaya hy k… “Rozay or Quran Qayamat k din banday ki Shifa’at krain gy” Roza Qayamat k din Allah k Samnay ye Shifa’at kray Ga k.. Ay Allah! Is banday ko Apni Raza atta farma Dejeay k main ny is ko din bhar khany peeny or shewaat sy roky rakha or Quran Majeed bhi Shifa’at kray Ga k… Ay Allah! YeRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Tilawat ka Maheena” Tilawat e Quran e Pak ko is Maah sy khaas munasibat hy. Kion k isi Maah mein Quran nazil hoa. Is leay Quran e Pak perhna or Sun’na is maheenay ki khaas Ibadat hy. Aam tor per Taraweeh ki Namaz mein Pura Quran e Pak perha or Suna jata hy. Or kai jaghon per tou taraweeh mein 3 martaba ya is sy zaid Quran e Pak khatam keya jata hy… Akabreen Ummat tou ye sara maheena Quran ki mashghuli mein hi guzartay thay. Hazrat Abu Haneefa (r.a) Ramzan ul Mubarik mein rozana aik Quran Pak din mein mukamal farmatayRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Gham Khuwari ka Maheena” Nabi Akram S.A.WW Ny isay Ghamkhuwari ka maheena kaha hy. Is maheenay mein Sadqaat o Khairaat ka Sawab aam dinon ki nisbat kai guna barha deya jata hy. Hadees mein Aata hy k Aap S.A.WW ki shafqat, reham dili, narmi, ata, bakhshish, fiyazi or sakhawat ka dariya waisay tou sara saal hi mojzan rehta tha k yeh Aap S.A.WW k ikhlaaq e kareemaa ka hissa theein, lakin Ramzan ul Mubarik mein Aap S.A.WW ki Sakhawat aisi hoti thi jaisay jhonkain marti hoi Hawaein chati hein jo Aap S.A.WW K pas aaya is ko khob khob anayat farmatay. IsRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozadaar k leay 2 Khushiyaan” Bukhari Shareef ki Rawayat hy, Hazor Nabi Akram S.A.WW ny Farmaya… “Rozadaar Admi k leay 2 khushiyaan hein… Jab wo Roza Aftar krta hy is waqt bhi ous ko khushi milti hy. Or Qiyamat k din jab wo Allah Ta’ala sy mulaqaat kray ga tou Allah Ta’ala ous ko ous waqt bhi Khushi Atta kry ga” Aik khushi tou isay ous waqt hoti hy jab sara din bhouka piyasa rehnay k baad is ny aftar keya tou aanton k tar ho janay sy sairabi ho gae dil ko tamaniyat hasil ho gi. Dosri khushi ho gi jabRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Naikion ka Season” “Naikion ka mousam e bahar” Dekha gaya hy k jo Log Tijarat krtay hein in k karobari season aaya krtay hein. Jis Shakhs ka Season aa jaey wo apni mehnat bohat ziada kr daita hy. Wo apni degar masrofiyaat tark kr daita hy, wo dosron sy ma’azrat kr laita hy k mera season hy is leay main ziada waqt farig nahi kr sakta. Bal’k wo insan apnay khanay peenay ki perwah nahi krta, Raat ko isay sonay ki fikar nahi hoti. Isko har waqt ye gham hota hy k main kisi trah is season ko kama lon, season syRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Maghfirat ka Maheena” Mosamon mein aik Bahaar ka mosam bhi hota hy. Jab wo mosam aata hy tou har traf sabza hi sabza nazar aata hy, phool hi phool nazar aatay hein. In ki khushboo sy Fiza moatar ho jati hy. Yun lagta hy k Ramzan ul Mubarik ka Maheena Maghfirat ka mosam hy. Is mein Allah Banday ki maghfirat ka manzar sajatay Hein. Roza rakhnay Walay k leay Pani k andar Machliyaan,bilon k andar chiuntiyan or hawa k andar parinday maghfirat ki duaen mangtay hein. Rozadaar Admi Allah Rab ul Izat ko itna pasand hy k is ka sona bhi ibadatRead More →