“~*Shaaor E Ramzan*~” “Halaat e Aitkaaf Mein Mamnoo Kaam or Aikaaf Ki Do Shartein” Hazrat Ayesha r.a frmati hein k, “aitkaaf krny waly k leay aitkaaf k moamly mein yeh sunnat hy k wo na mareez ki eyadat kry, na janzy mein jaye, na aourat ko hath lagaye, na ous k sath jism mas kry, na kisi hajat k leay bahir nikly bajuz ous hajat k, k jis k leay masjid sy nikalny mein chara na ho or koe aitkaaf nai hy bghair rozy k, or koe aitkaaf nai hy magar jamea masjid mein” Is hadees e Mubarika mein Hazrat Ayesha r.a ny aitkaaf kRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Mubahat E Aitkaaf” (Aitkaaf ki halat mein jo batein jaaiz hein) 1. Sehri or iftari k waqt khana peena 2. Sona 3. Baal or nakhun katwana jab k masjid mein na girain 4. Kapry badalna 5. Khushboo lagana 6. Quran e pak parhna ya parhana 7. Ilm e din seekhna or sikhana 8. Doctor ya hakeem ka aitkaaf ki halat mein mareez ka mo’aina krna 9. Nikkah parhna ya parhana 10. zarooriyat e zindgi k leay khareed o farokht krna jab k ghar mein koe soda laany wala na ho lakin soda masjid mein na laya jaye kisi sy keh k mangwaRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Jin Baton Sy Aitkaaf Tout Jata Hy” 1. Aitkaaf ki jagah sy bahir nikalny sy khaw jaan boujh kar nikly ya ghalti sy… chahy aik lamhy k leay he nikly. 2. Koe shakhs apni jaaiz zaroorat k leay nikla magar bila wajah bahir thehar gya. 3. Kisi k jaan bachany k leay nikla maslan doubty ko bachany k leay ya aag bhujany k leay tou bhe aitkaaf tout gya agarchy in sorton mein gunah nai ho ga k jaan bachana zaroori hy lakin aitkaaf tout jaye ga. 4. Agar zaroorat k leay bahir nikla magar raasty mein koe qarz lainy wala rokRead More →

~*Shaaor E Ramzan*~” “Aourton Ka Aitkaaf” 1. Aourton k leay ghar mein namaz ki muqarar ki hue jagah par baithna ziada afzal hy. Agar ghar mein pehly namaz k leay koe jagah makhsoos na thee tou ab aitkaaf k leay kr ly. 2. Aourat agar shadi shuda hy tou pehly apny shohar sy ijazat ly. Ijazat k bina aitkaaf jaaz nai hy. 3. Agar shohar ny pehly ijazat dy di or aourat ny aitkaaf shuru kar diya baad mein shohar mana krna chahy tou ab nai kr sakta. Agar shohar mana kry tou bivi k zimy ous ka hukm man’na ab wajib nai raha. 4.Read More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Lai’la Tul Qadar” Ramzan ul mubarik mein sy aik raat “shab e qadar” kehlati hy jo bohat barkat or khair ki raat hy. Quran e pak mein is ko hazar maheeno sy afzal btaya gya hy. “Shab e Qadar hazar maheeno sy afzal raat hy” Hazar maheeno k tarasi bars chaar maah banty hein. Wo shakhs bohat he khush naseeb hy jo is aik raat ko ibadat mein guzary. *LAI’LA TUL QADAR K MAANI* LAIL k maani hein raat… QADAR k maani hein azmat o sharf. is raat ko LAI’LA TUL QADAR kehny ki wajah is raat ki azmat o sharf hy.Read More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Qadar Danoon K Leay Inaam” Lai’la Tul Qadar jo is ummat ko Allah ny ata frmaei is ka sabab kiya hy… Hadees e Mubarika mein aaya hy k, Aap S.A.WW ny pehli ummaton ki umron ko daikha k oun ko bohat lambii umrein di gi hein or Aap S.A.WW ki ummat ki umrain bohat thori hein agar wo naik amaal mein brabri krna bhe chahein tou na mumkin hy is leay Aap S.A.WW ko ranj hua. Is ki talafi mein yeh raat ata ki gi” Aik riwayat mein hy k Aap S.A.WW ny Bani Israeal k aik shakhs ka zikr kiya kRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Shab E Qadar Kab Aati hy” Hazratd Ayesha r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k, “Shab e qadar ko ramzan k aakhri ashry ki taaq raaton mein talash kro” is ki ilamat yeh hy k Aap S.A.WW ny frmaya, “Wo raat khili hue chamak daar hoti hy, na ziada garm na ziada thandi, chand khila hua hota hy. is raat mein subah tak aasman k sitary shayateen ko nai maary jaty. is ki aik ilamat yeh bhe hy k subah ko soraj bghair shuaa k taloo hota hy yani soraj ki shuaa ya bikul nai ho gi ya ousRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Shab E Qadar K Amaal” Harzrat Ayesha r.a frmati hein main ny arz kiya, Ya Rasool Allah S.A.WW..!! mujhy shab e qadar ka pata chal jaye tou main kiya dua maangon. Aap S.A.WW ny frmaya, “ALLAHUMA IN’NAKA AFU TUHIBUL AFU FAFU AN’NI Ay Allah! Beshak tou maaf krny wala hy moafi ko pasand krta hy pas TOO mujhy moaaf frma dy” Hazrat Sufitan Soriii r.a kehty hein k is raat mein dua k sath ibadat mein mashghoul rehna ziada behtr hy. Dua k sath dousri ibadaat ka krna bhe afzal hy maslan dua, tilawat, zikar, namaz… yeh sub amour Piary Aaqa S.A.WWRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Frishton Ki Aamad” Alah frmata hy, “Is raat mein frishty or rooh ul qadar apny parwardigaar k hukm sy outarty hein” Hazrat Ans r.s sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya, “Shab e qadar mein Hazrat Jibreel a.a frishton ki aik jamaat k sath outarty hein or ous shakhs k leay jo khara ya baith k Allah ka zikr kar raha hy ya ibadat meim mashghoul hy dua e rehmat krty hein” Hazrat Ibn e Abbas r.a sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k, “Frishty Hazrat Jibreel a.a k kehny par mufarik jaty hein or koe chotaRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Sadqa E Fitar” 1. Eid ki subah sadiq sy yeh sadqa wajib ho jata hy. Behtar yehi hy k eid gaah jany sy qabal ada kr diya jaye. Agar kisi ny ramzan mein he dy diya tou ada ho gya or agar kisi ny eid k din tak na diya tou maof nai hua ada krna ho ga. 2. Sadqa e fitar apni taraf sy or apni na baligh oulaad ki taraf sy daina wajib hy. 3. Bacha khaw eid waly din paida ho ya aik din pehly oys ka bhe sadqa fitar daina lazim o wajib hy. 4. Jo musalman itnaRead More →