Paidaish Chaah e zamzam bohat salon sy dab chuka tha or ous ka nishan bhe kisi ko maloom na raha . Hazrat Abdul Mutlib ko khawab mein is ko khodny ka ishara hoa tou apny sahabzady Haris k sath chah e zamzam ko khodny lagy . Unho ny man’nat mani k agar mein apny saamny apny 10 baiton ko jawan daikh loun tou aik ko Allah ke rah mein qurban kron ga . Aap k baity jawan hoay to sab ko ly kar ka’aba mein aaey or qur’ra dala to Hazrat Abdullah r.a ka naam nikla. Abdul Mutlib ko baiton or quraish ny kaha kRead More →

Piary Aaqa S.A.WW ke Jawaani  Arab k aik mumtaaz, muhazib or aala riwayaat rakhnay walay khandaan mein saleem ul fitrat walidain sy aik anokha sa bacha yateemi k saaye mein paida hota hy. Aik ghareeb magar shareef zaat ki daaiya ka doodh pee kar dayhaat k sehat bakhsh mahool k andar fitrat ki goad mein palta hy. Wo khaas intazaam sy sehra mein tag o dou krtay krtay zindagi ki mushaqaton ka muqabla krnay ki tayariyan krta hy or bakriyaan chara kr gal’la bani ki tarbiyat pata hy. Bachpan ke pouri musafat tay krnay sy pehlay yeh anokha bacha maan k saya e shafqat syRead More →

Nabuwat Arab mein shrab noshi, zina kari, qamaar bazi, aor qatal o gharat gari aam thee… Dil is qadar sakht ho chuky thy k betion ko zinda dafan kr daity thy. Bouton ke pouja krty or oun par insan ke qurbani charhaty . Aisy badtreen moashry mein Piary AAQA S.A.WW ke zindgi is trah k gunahon sy paak rahe. AAP S.A.WW aosaf e hameeda amanat or diyanat or sachai o mohabat ka paikar thy . Yahan tak k quraish e Makkah ny AAP S.A.WW ko Sadiq or ameen k laqab dia hoa tha . Aap S.A.WW maah e ramzan mein ghaar e Hira mein aitkaafRead More →

Continued… Msg 10 Nabuwat k panchwain saal mah e Rajab mein 11 mard or 4 aourton ny Habsha ke taraf hijrat ke jin mein Hazrat Usman r.a or Oun ke zoja mohtarma Hazrat Ruqiya r.a Bint E Rasool S.A.WW bhe shamil theein. Muhajreen 3 maah Habsha mein aman sy rahy. Shabaan k maheeny mein oun ko ghalat khabar pohanchai gi k Makkah k log emaan ly aaye hein is leay in mein sy aksar wapis Makkah chaly gy. Quraish ny Habsha sy aany walon ko dousry musalmano sy ziada tang karna shuru kr deya is tarah nabuwat k chaty (6) saal 83 mard or 18Read More →

Hijrat E Madina Quraish ke iza rasaniyon k baes musalmano ka Makkah mein rehna mushkil ho geya tou Piary Aaqa S.A WW ny apny ashab r a sy frmaya k hijrat kar k Madeena chaly jao, chunachy ashaab r.a mukhtalif dino mein chori chhupy Madeena pohanch gy. Makkah mein Piary Aaqa S.A.WW k ilawa Hazrat Abu Bakar Siddique r.a, Hazrat Ali r.a or kuch bourhy or bimaar log reh gy. Hazrat Abu Bakar Siddiqe r.a ny hijrat kr ijazat maangi tou Aap S.A.WW ny farmaya k umeed hy mujhy hijrat ke ijazat mil jaye gi. Hazrat Abu Bakar r.a ny arz ke… Mery maan baapRead More →

Hijrat e Madina Continued… Msg 15 Madeena k qareeb Bureeda Aslami, qabeela Banu Seham k sharr swaron k sath inaam ke lalach mein Aap S.A.WW ko giraftar karny aaya. Aap S.A.WW ny poucha k too kon hy? ous ny jwab deya main Bureeda hon. Yeh soun kar Aap S.A.WW ny farmaya, hamara kaam khushkun or darust ho geya. Aap S.A WW ny farmaya, kis qabeely sy ho? Bureeda ny kaha, Banu Aslam sy… Aap S.A.WW ny frmaya, hamary leay khair o salamti hy. Aap S.A.WW ny poucha, konsy Banu Aslam sy? ous ny kaha Banu Seham sy. Aap S.A.WW ny farmaya, too ny apna hissaRead More →

GHAZWAAT Ghazwa ous jang ko kehty hein jis mein Rasool Allah S.A.WW khud shamil hoay hon. or jis mein Aap S.A.WW khud shamil na hoay hon balky kisi sahabi r.a ya ashaab r. a ko dushman k muqably k leay bheija ho tou wo Sariya kehlata hy. Saraiya ke tadaad 45 hy or Ghazwaat ke taadad 27 hy. Ghazwaat mein… Ghazwa ABWA… maah e Safar mein hijrat k pehly saal hoa. Ghazwa BAWAAT… is ko Badar e Oula bhe kehty hein. yeh maah e Rabi ul awal mein hoa isi saal mein ghazwa Zil Ashiraa Jamadi ul Ukhraa mein hoa. Msg 2 *GHAZWA E BADAR* Read More →

Ghazwaat Mag 26 Continued… GHAZWA E GHATFAAN Hazoor S.A.WW ny Rabi ul Awal 3 hijri mein khabar souni k Najad k aik mash’hoor bahadur Dasoor bin haris ny aik lashkar Madeena par hamly k leay tayar keya hy. Aap S..A.WW 40 sahaba ke fouj ly kar muqably k leay rawana hoay. Jab Dasoor ko khabar mili k Aap S.A.WW oun k ilaqay mein aa gy hein tou wo bhaag geya or lashkar ly kar paharon par charh geya. ous ka aik aadmi Habaan giraftar hoa or wo musalman ho geya. Ous roz taiz barish hoe. Aap S.A.WW sahaba sy dour aik darakht k nechy laityRead More →

Msg 48 Continued… BAIT E RIZWAN OR SULAH KHUDAIBIA 9 zeeqad ko Aap S.A.WW aik hazar 400 sahaba k sath umrah k irady sy chaly. Aap S.A.WW k sath Umm e salma r.a bhe thy. Miqaat par pohanch kar Aap S.A.WW ny ehraam bandha. Aap S.A.WW ny Hazrat Basar bin sufiyan r.a ko quraish ke taraf batoar jasous bheija. Aap S.A.WW safar mein thy. Asfaan k nazdeek pohanchy tou jasous ny itlaa di k kuffar Aap S.A.WW ko Makkah mein dakhil nai hony dain gy. Aap S.A.WW ny ashaab sy mashwara keya or Hazrat Abu Bakar r.a k mashwary ko pasand farmaya k… Msg 49Read More →

*~*Piary Aaqa S.A.WW Ke Hayat E Tayyba*~*  **AZWAAJ E MUTAHIRAAT** Hazrat Khadija r.a Bint E khwaild In ka silsila e nasab Qasaa mein Aap S.A WW k khandan mein milta hy. Aap S.A.WW ke be’asat sy qabal aap r.a Tahira k laqab sy mash’hoor theein. Un ke pehli shadi Haala bin jarara sy hoe jin sy 2 larky Hind or Haala paida haoy. yeh dono sahabi r.a hein Khawind k intaqaal k baad dousri shadi Ateeq bin aaib sy hoe. in sy aik beiti paida hoe is k baad aap r.a ke shadi Saifi bin umiya makhdoumi sy kar di gi. Msg 2 oun syRead More →