MASAWAAT O BHAI CHARA  Islam mukamal toar par masawaat ka dars daita hy. Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny hajatul vidaa k mouqa par famaya, “Aey logo…!!! tumhara rab aik hy, tumhara baap aik hy, khabardaar kisi arbi ko ajmi par pr kisi ajmi ko arbi par koe fazeelat nai or kisi gory ko kaly par or kaly ko gory par magar taqwa k sabab” Islam ny khol kar biyan kr deya hy k har koe brabar hy or kisi ko maal o doulat ya hasb o nasb ke wajah sy aik dousry par koe bartari hasil naiRead More →

HUSAN E SALOOK SY PAISH AANA Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya, “Maizaan e amal mein husn e salook sy wazni koe amal nai” Hazrat Abu Huraira r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya, “Main behtreen ikhlaaq o aadaat k itmaam k leay bheija geya hon” Husaan e salook yeh hy k apny ouper zulm krny walon ko moaf kry, jo ousy na dy tou wo ousy dy, jo ous sy laraai rakhy tou wo ous sy jory. Aik or hadees e mubarika mein hy k, “Qayamat k din mery sub sy ziada mehboob or meri majlis mein mein sub sy ziada qareeb woRead More →

 EHAD Ehad ka matlab hy kisi wady ke hifazat krna or har haal mein ous par qaaim rehna hy. Ehad ko poura krny ka hukm deya geya hy is sy muraad mo’aahida hy, do fareeq k darmiyan kisi kaam k karny ya na krny ka ehad or jo koe shakhs kisi taraf sy yaktarafa wada kar laita hy k main aap ko falan cheeze doun ga ya falan waqt aap sy loun ga , ya falan waqt aap sy milon ga ya aap ka falan waqt tak kaam kar doun ga tou ous ka poura krna farz hy. Ehad ya wady ka zindagi k harRead More →

 BACHON SY MOHABAT Islam ke ikhlaaqi taleem mein mohabat o shafqat ko khas ehmiyat hasil hy. yeh insan k buniyadi ikhlaaq mein sy hy. Jis mein shafqat o mohabat ka maada nai wo islam tou keya inasani daairy sy bhe kharij hy. Beraham, insan nai ho sakta. Mohabat o shafqat ke wajah sy insan aik dousry sy ri’aayat karta hy or ous sy marboot hota hy hoya shafqat o mohabat bahmi moaashrat ke asal buniyad hein. Allah k khas naamon mein sy Rehman o Raheem hy. Allah ny apny is wasf sy juzvi tor par bandon ko bhe nwaza hy jis ka numayan asar waldainRead More →

 SADAQAT Insan k har qoul o amal ke darustgi ke bunyad yeh hy k dil or zaban or zahir o batin baham aik dousry k mutabiq or hum aahang hon is ka naam sidq or sachaai hy, jo sacha nai ous ka dil har buraai ka ghar ho sakta hy or jo sacha hy ous k leay har naiki k hasool ka raasta aasan hy. Sachaai ke aadat insan ko bohat si buraion sy bachati hy. jo sacha ho ga wo har buraai sy paak hony ke koshish kry ga. Wo raast baaz ho ga, emaan dar ho ga, ehad ko wafa kry ga, dilRead More →

AMANAT Islam mein amanat ka bara maqam o martaba hy or zindagi mein har shouby mein is ka taqaz kiya jata hy lakin jahan or jis maqaam par zara nazar hat jati hy tou wahan hayanat apni tamam tar ranaiyon k sath apna qabza jama laiti hy, ab yeh insan par hy k wo amanat o khayanat mein sy konsy raasty ka intekhaab karta hy. Kisi ke cheeze ya hukm ous ke riaa’yat k sath ada karny ka naam amanat hy, is ka ta’aluq sirf rupy paisy sy nai bal’ky is sy bohat ziada wasee hy, har maali, qanooni, or ikhlaaqi amanat tak wasee hy.Read More →

AFOU YA MOAAFI Jab koe zulm ya ziadati krny k baad apni ghalti k baad nadim hon tou ous sy badla na laina moaafi kehlata hy. Quran mein kae maqamaat par moaafi ka hukm deya geya hy or is ke fazeelat or ehmiyat biyan ke gi hy. Afou insani ikhlaaq o ousaaf mein sy aik nahayat he buland or aali wasuf hy or yeh shurfa ke siffat mein sy hy, jin mein anmbiya ko mumtaaz maqaam ka hasil hy. Mahool mein sanjeedgi or aman o amaan k leay is wasf ke shadeed zaroorat hy. Agar inteqaam or badla ka silsila shuru ho jaye tou duniyaRead More →

DARGUZAR Jab zulm ya ziadti krny wala saamny ho or badla lainy ke pouri taqat bhe ho tou badla na laina or moaaf kr daina darguzar kehlata hy. Allah farmata hy, Tarjuma:- “Zulm ka intaqaam chor kar Aap S.A.WW oun k saath khair khawahi or hamdardi ka moamla krain or narmi k saath oun ko haq baat btaein” Quran e pak mein darguzar ko Allah k piary bandon ke sift biyan keya geya hy. Darguzar karny k sirf duniya mein he faaidy nai hein balky aakhirat mein bhe is k bary fazaail hein or is wasf k hamil k bary darjaat hein. Duniya k faaidonRead More →

JANWARON SY MOHABAT Aaqa e do jahan paikar e rehmat, Aap S.A.WW ka saya e rehmat sirf insano par he na tha balky janwar or prindy bhe is sy mehroom na thy. Jabwaron k bary mein Aap S.A.WW ny takeedan farmaya, “In be zaban janwaron k bary mein Allah sy daro, in par swar ho tou achi halat mein swar ho, or in ko khao tou achi halat mein rakh kar khao” yani hum janwaron sy kisi bhe qism ka kaam lain yeh zaroori hy k oun k sath mohabat ka bartao rakhein. Aap S.A.WW ny in pehloo’on sy bhe janwaron k sath mohabat kaRead More →

ANDAAZ E GUFTAGOO Takalum insan k emaan, kirdar, or martaby ko pouri tarah be naqaab krta hy. Mouzou’aat or ilfaaz ka intekhaab, fiqron ke saakht, aawaz ka outar charhao, lehjy ka asloob, or biyan ka zoor yeh sari cheezain wazeh krti hein k mutakalm kis paaye ke shakhsiyat ka alambardar hy. Piary Aaqa S.A.WW k mansab or zima darion ki noaei’yat aisi thee k oun ka bhari bojh agar kisi dousri shakhsiyat par dala geya hota tou wo tafakraat mein doub kar reh jata lakin piary Aaqa S.A.WW k kamalaat e khas mein yeh baat bhe shamil hy aik taraf Aap S.A.WW tafakraat or masaailRead More →