Piary Aaqa S.A.WW K Naalain Mubarik Ka Biyan  *Hazrat Qitada ny kaha k main ny Hazrat Anis r.a sy poucha k Aap S.A.WW ka na’al mubarik kaisa tha tou farmayak har aik mein dou tasmy thy. * Piary Aaqa S.A.WW ka chapal mubarik airhee numa hota tha *Aap S.A.WW k na’al mubarilk ka agla hissa misal zaban k golaai leay hoay hota tha. Yazeed bin zayad sy riwayat hy k main ny Aap S.A.WW k na’al mubarik ko daikha jo zara bareeki leay airhee dar misal e zaban k tha. * Aap S.A WW k nalain mubarik zard rang k thy.   Jouta O ChappalRead More →

 Qabristan Jany K Masnoon Aadaab  1* Zayarat e qaboor k leay jana mustahib hy. 2* Chaar din zayart k leay jana behtreen hein, hafta, peer, jumerat or juma 3* Isi tarah shab e barat, shab e qadar, eidain, or ashra e zulhajj zayarat e qaboor k leay behtreen. 4* Qabristan mein duniya ke batein na krain or moat ko yaad krain. 5* Piary Aaqa S.A.WW auk baar aik janazy k sath qabristaan tashreef ly gy or wahan qabar k kinary baith kar khoub roye or phir sahaba ko mukhatib kr k farmaya, “is din ke tayari kro” 6* Qabristan mein jouty outar kar daakhil honRead More →

 Washroom Mein Dakhil Hony Or Nikalny k Aadaab Islam ny safaai or taharat ke jitni takeed ke hy kisi or mazhab mein nahi ke gae. Ibadaat or khas tor par namaz ke qabooliyat ka daromadar taharat par hy. Isi leay Piary Aaqa S.A.WW ny ummat ko baitul khala meun jany or bahir aany ka tareeqa bhe bta deya hy. Is leay jab koe baitul khala mein daakhil ho tou yeh dua parhy… Aey Allah main khabees jinno or jin’nion k shar sy panaah maangta hon. Baitul khala sy nikalty hoay yeh dua parhein. Sab hamd Os Allah k leay jos ny mujhy aziyat sy bachaRead More →

Khany K Leay Baithny Ka Masnoon Tareeqa  Khany k baithny ka masnoon tareeqa yeh hy k ya tou dono ghutno k bal baithein ya daaein taang ko khara kr lain or baein ko bicha dain. Zaaid ul miyaad mein likha hy k Aap S.A.WW sureen k bal baithty thy or baein pair k talway ko daein pair k ouper rakhty thy. Yeh tareeqa Aap S.A.WW adab k tor par ikhtiyar farmaty thy. Baithny ka yeh tareeqa sub sy afzal or nafa bakhsh hy.   Khilaaf e sunnat Khany K Aadaab  * Jis khany pat Bismillah na parhi jaye ous mein barkat nai hoti. * JisRead More →

Sony jaagny k adaab Neend ALLAH ki nematon mein sy aik nemat hy sony sy jisam ko rahat milti hy naqahat or thakaan door hoti hy.. 1..ishaa ki nimaz parhny sy pehly nahi sona chaheay.. 2..AAP SAWW takeed farmaty k sony sy pehly agr wozoo ho tu behtar hy 3..soty waqt charaagh ko bujhaa dena chaaheay 4..soty wsqt jalti aag ko bujhaa dena chaheay kiun k ho sakta hy k soty hoay is sy kisi tareeky sy nuqsan ponch jaey is leay angheethi jala kr nahi sona chaheay na gess heetar waghera jalta hoa chor kr sona chaheay kiun k jalti aag khatry sy khaliRead More →

 Step 4 Maqasid  ☆Harawal Dasta 2 ka step 4 “Moamlaat” hy. ☆Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ke zindgi har tara sy hamaray leay aik mukamal namoona e hayat hy. Zindgi k tamam moamlat or har pehloo k hawalay sy Piaray Aaqa S.A.WW ke zindgi ummat k leay uswa e hassna hy. ☆Zindagi ke aadat o atwaar mein sunnat e Nabvi S.A.WW sy aashnai hasil karnay k baad training k is marhalay mein zindagi k mukhtalif moaamlaat mein Piaray Aaqa e Do aalam S.A.WW k pairvi amli taor par karnay ke tarbiyat de jati hy kion k billa shuba AAP S.A.WW ke it’taba he hamariRead More →

Taqwa  Hazrat Ali r.a farmaty hein, “Ma’siyat par israr na krna or ibadat par maghroor na hona taqwa hy. Hazrat Abu Hafs r.a k nazdeek khalis or halal e mehz k saath he taqwa qaaim rehta hy. yeh kasooti hy. Darasal akal e halal he taqwa ke rooh e rwaan hy or yehi taqwa ke mazboot or thous buniyad hy. Agar doodh ya shehad sy bhary hoay matky mein khumar (sharab) ka aik qatra dal deya jaye tou wo napaak ho jata hy halan k matky k andar mojoud shehad ya doodh ke nisbat aik qatra khumar ke koe hasiyat nai rakhta… yehi haal rizqRead More →

TAWAKAL Twakal ka mafhoom yeh hy k kisi maqsad k hasool k leay nahayat ijz o inkisaari sy tamam mumkina asbab ko broor e kaar laaty hoay sirf Allah par bharosa keya jaye. Twakal k maani yeh nai hein k Allah k paida keay hoay asbab o halaat ko chor dy balky murad yeh hy k asbab e ikhtiyaria ko zaroor ikhtiyar kry magar bharosa asbab par karny ke bjaye sirf Allah par kry k jab tak Oss ke mashiyat o irada na ho jaye koe kaam nai ho sakta. Twakal aisa shajar e be’khizan hy jis ko zuhad ka paani daina parta hy kionRead More →

AAJIZII Aajizi ka matalb yeh hy k insan mein takabur or gharoor paida na ho, har shakhs dousry ke izat kry or apni kami, kotahi or kamzori ka eitraaf kry. Aajizi yeh hy k zameen par inkisari k sath chalna…. yani seena taan kar mutakabirana chaal sy dour rehna. Aajizi Allah k khas bandon ka wasf hy. Logon sy baat krty hoay be rukhi na ikhtiyar ke jaye. Zameen par akar kar na chala jaye, aawaz mein taizi or sakhti na ho k kibr o gharoor tapky. Gharz zindagi k har moamly mein aajizi ka zahir ho yehi Allah k piaray bandon ke nishani hy.Read More →

EHSAN KARNA  Bazurgaan e deen k nazdeek ehsan ka darja adal sy barh kar hy. Adal yeh hy k kisi ko itna daina jitna oun ka haq hy or itna laina jitna ous ka apna haq hy. or ehsan yeh hy k jitna ous ka haq hy ous sy ziada dy or jitna ous ka haq hy ous sy kam ly. Adal yeh hy k kisi ny kisi ko izaa pohanchaai tou wo ous ko intni he izza pohanchaye or ehsan yeh hy k ous ke ziadti ko moaaf kr dy or ous k saath naiki kry. kisi ke naiki k badly mein itni heRead More →