Batil Alert 60 *Batil or Doosray sy Dua Karana* Batil kisi doosray sy dua karwanay k hawalay sy ikhtalafi points samnay lata hy maslan ye k Ham kisi k sath dua kion kaaraien? kia ALLAH hamari nahi sounay ga? Jab kam Allah ny karna hy tou kisi doosray k sath dua kion karaein? Hamaray or ALLAH K darmian koi teesra ya ghair kion aye? etc etc. Or youn ham batil k is waar mein phanss kar ye nahi samjh paatay k… Ham bandon ko ALLAH ny apni pehchan karanay or hidayat ke raah dikhanay k leay hamesha kisi na kisi banday ko he zarriye banaya.Read More →

Batil Alert 61 *Batil or Batil Ka Tamasha* Haq ke rah par chalnay walay rahi ko Markaz ke tarf sy har lamha nazar mein rakh kar itni power de jati hy k wo khud bhe batil sy larr sakay or is ka istamal karnay k apnay kisi sathi ko bhe zaroorat parrnay par batil k shikanjay mein phanssnay sy bacha sakay ya phanss janay par wahan sy nikal sakay. Batil k waar ka aik roop ye bhe hy k ain os waqt k jab hamein oss ata k gae haq ke power ka barwaqt or bharpoor istamal kar k apnay sathi ko batil ke qaidRead More →

Batil Alert 62 *Batil or Zaati Nazriyat* Haq ka rahi Ashiq k taor par haq k safar mein aagay barh raha ho tou osk soch ihsas or amal mein piarvi ka Markaz or Mehvar osk Mashooq hotay hein. Wahan oska koe zati maktaba e fiker ya nazriya baki nai rehta, chahey wo kitna he eham maosharti, siasi, ya samaji nazriya ho wo osko Mashooq ke khushi k leay ya manay ga ya nai manay ga. In mein sy kisi bhe hawalay oska apna zati, zehni or qalbi lagao ya pasandeedgi ka baki reh jana osk ishq k khaatay mein oske kami k taor par heRead More →

Batil Alert 63 *Batil or Rah e Hidayat* Jab kabhi ham kisi bhe silsila ka hissa ban kar haq ke rah par aagay barh rahay hon gay tou batil aik aik pal peecha karay ga k kahin kisi maqam par phanssa ley or hamara haq ke rah ka safar ruk jaye. Or phir jab kabhi kisi bhe waar k zariye phanssa kar batil aisa karnay mein kamyab ho jaye tou haq ka raahi os waqt os chaal ko na samjhtay hoay…sisila chor denay, silsila sy alug ho janay ke baat karta hy…. Jab k haqeeqat ye hy… Batil hamein samjhnay nai daita k… Kisi bheRead More →

Batil Alert 64 *Batil Or Halaat o Waqiat* Aik Ashiq Haq k rahi ny dunia chor nai daini hoti ossay dunia mein reh kar dunia sy dil bacha kar haq k safar par agay barhna hota hy. Kabhi kabhi aisa bhe hota hy k raah chaltay aisay moamlat, irrd girrd k halaat or waqiat jin ka hissa ossay sirf dunia ke routine nibhanay k leay ban jana hota hy, wahan wo billa wasta ya bil wasta (direct/ indirect) toar par in moasharti, qoami, aalmi ya majmooi taor py duniyawi halat o waqiat mein is qadar involve ho jata hy k wahan oska dill un waqiatRead More →

Batil Alert 65 * Batil or Resistance/Hamari Mazahmat* Baaz aoqat ham khud apni apnay andar jhaank k khud apni haqeeqat ko waisay nai dekh paa rahay hotay k jaisay doosray hamein dekh k hamein hamari khami bata saktay hein. Aisay mein hamara doosray ko itni space dena k wo hamein bina jhijhak k hamari ghalti bata sakay, hamaray leay islah ka rasta kholta or hamein haq ke rah par agay barhata hy. Kion k ghalti pakar kar he oss par kam kar k aagay nikla ja sakta hy. Hamari islah k leay millay hoay kisi bhe point k leay hamara andar sy ossay qabool karnayRead More →

Batil Alert 66 *Batil or Apni Ghalti ya Test* Allah ke qurbat k safar mein aagay barhnay k leay Haq ka Rahi faraiz ke adaigi or mamoolat o moamlat ko behatareen tareeqay sy nibhanay ke koshish karta hy. Is safar mein osk leay azmaish bhe hoti hy or oss sy ghaltian bhe sar zadd hoti hein. Lekin wo quwat e emani ke taqat sy har azmaish sy guzarnay ke koshish karta or apni ghaltion sy he sabaq seekhta aik aik qadam haq ke raah par aagay barhta jata hy. Yehi batil k mounh parr tamacha hota hy k jab ham kisi ghalti k sar zadRead More →

*Alert 67* *Batil Or Batil k Purr Assr Hamlay Ka Waqt* Asal mein batil koe ziada taqat nahi rakhta… hota ye hy k jab ham dunia, nafs, shetan k jal mein phanss kar inhein apnay par havi honay ka moaqa detay hein tou inka ye haavi hona quwat e emaani ke kami ka sabab ban jata hy. Batil ka ye target hota hy k jahan kahin dillon mein haq yani emaan nazar aey hamla karay ga. Ab jab wo kahin sy bhe zara sa maoqa paa k haq k raahi par hamla karta hy tou oss hamlay ka assar is leay ho jata hy kRead More →

Alert 68 *Batil or Apna Haqeeqi Chehra* Kisi bhe Silsilay sy wabasta ho k, kisi Rehnuma sy rehnumai ley k jab haq ke rah par anay walay musafir ka haq ka safar shuru ho k aagay barhta hy tou os k andar Haq ke Roshni outarti hy or os roshni mein ossay apnay andar ke gandgi or kasafat nazar aana shuru ho jati hy jo beshuk k moajood tou osk andar pehlay bhe hoti hy magar pehlay andar Haq or eman ke itni roshni nai hoti k os mein ye sabb andar ke ghalazat dikhaai daiti… Jab haq walon sy wabastgi dil mein haq keRead More →

Alert 69 * Batil or Aik Wusswasa* Haq ke raah par baiqada aik safar ka aghaz honay k baad har roohani musafir ke apni apni dorr hoti hy k koe safar mein apni manzil ke tarf kis raftar sy or kahan takk bhagta hy kion k yahan har aik musafir ka apna maidan hota hy or apna ghora jo jahan tak bhagna chahey ossay maidan khulla millta hy. Haq ke power lamha lamha andar ke jari jang sy mouyassar ati rehti hy or Markaz ke taraf sy Haq ke kumak ke farahmi bhe iss jang mein Haq k Rahi ko khara rakhti or larrwati hy.Read More →