Outhny Baithny K Adaab Outhny baithny k adaab ko adaab e majlis bhe kehty hein. wo qoum ya log bary muhazib kehlaty hein jo behtreen tareeqy sy outhty or baithty hein. Piary Aaqa S.A.WW k tareeqy par outhna baithna deeni or duyavi fwaaid ka baes hy. Baithny Ka Sunnat Tareeqa Hazrat Qarah Bin Ayaas r.a sy marvi hy k… Aap S.A.WW jab sahaba r.a k sath baithty tou halqa bana kar gol daairy mein baithty. Piary Aaqa S.A.WW ke majlis aagy peechy baith k nai hoti thee is mein aik dousry k pas e pusht baitha jata hy or Aap S.A.WW ko kisi k peechyRead More →

Mehmaan Nwazi Mehmaan nwazi ikhlaaq e hasna mein sy aik hy. Islam mein is ke bari ehmiyat hy. Allah ny na sirf is wasf ko pasand farmaya hy balky isy apni dosti ke ilamat qarar deya hy. Farmaya k mery dost mehmaan nwaz hoty hein. Piary Aaqa S.A.WW na sirf khud mehmaan nwaz thy balky mehmaan ko Allah kr rehmat samjhty thy. Jab koe mehmaan aata tou khud ous ke maizbani famaty or mehmaan nwazi mein azkhud koshish farmaty. isi leay mehmaan ke apni basaat k mutabiq khidmat karna sunnat hy. Mehmaan Nwazi Sy Mutaliq Piary Aaqa S.A.WW ke Ahadees E Mubarika Tamam mazahib nyRead More →

Khushboo Sy Mutaliq Piary Aaqa S.A.WW Ke Sunnat 1* Hazrat Anis r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya k “Duniya mein mujhy teen cheezain mehboob o pasand hein… i. Aourat ii. Khushboo iii. Namaz k yeh meri aankhon ke thandak hy” 2* Aap S.A.WW kabhe khushboo k hadiya ko wapis nai farmaty thy. 3* Aap S.A.WW ba kasrat khushboo ka istamaal krty. 4* Aap S.A.WW ko khushboo or itar bohat pasand tha. 5* Aap S.A.WW Tahajud k waqt itar ka istamaal krty. 6* Aap S.A.WW is baat ko pasand nai farmaty thy k majlis mein bila itar o khushboo tashreef ly jaein. 7*Read More →

 Ayadat e Mareez Sy Mutaliq Aadaab E Sunnat  * Mareez ke ayadat swab ka kaam hy Piary Aaqa S.A.WW jab kisi mareez k ghar tashreef ly jaty tou bimar ke paishani or nabz par haath rakhty or phir pait or seeny par hath phairty or Aap S.A.WW mareez sy farmaty k fikar ke koe baat nai yeh bimari gunahon ka kuffara hy or tahoor ban jaye ga. Aap S.A.WW farmaty, mareez kuch khany ko maangy tou ousy do bashart yeh k ous k leay muzir na ho. * Aap S.A.WW teen baar mareez k leay dua frmaty. *Mareez k pass baith kar ous k sathRead More →

 Piary Aaqa S.A.WW K Chalny Ke Halat  Hazrat Hassan bin Ali r.a sy riwayat hy k main ny apni khala Hind Bin Abi hala sy Aap S.A.WW ke raftar k bary mein maloom keya tou ounhon ny kaha k Aap S.A.WW aagy ko jhuk kar chala karty thy, matanat or waqar k sath qadam outhaty thy, chalnyein taiz raftar thy, Aap jab chalty tou aisa maloom hota k jaisy kisi ounchaai sy outar rahy hon, jab Aap S.A.WW kisi ke taraf matwajoo hoty tou pouri tawajoo farmaty, Raasta chalty hoay Aap S.A.WW ke nazar zameen ke taraf jhuki hoe hoti. Aap S.A.WW ke nigah aasmanRead More →

 Libbas Libbas qudrat ka behtreen atiya hy jis sy musalman apna jism dhanpty hein. Satar poshi ko shariyat mein zaroori qarar deya hy, satar poshi ko Allah ny insani fitrat mein rakha hy. Jab Hazrat Aadam jannat mein rehty thy tou oun k jism par libbas tha Allah k hukm ke pabandi na krny ke wajah sy wo libbas outara geya or oun ko jab ehsas hoa tou eo darkht k pat’ton sy jism ko dhanpny lagy is ka matlab hy k satar poshi kis qadar zaroori hy. Mardon k leay naaf sy ly kar ghutno tak or aourton k leay sar k balon syRead More →

 Piary Aaqa S.A.WW K Naalain Mubarik Ka Biyan  *Hazrat Qitada ny kaha k main ny Hazrat Anis r.a sy poucha k Aap S.A.WW ka na’al mubarik kaisa tha tou farmayak har aik mein dou tasmy thy. * Piary Aaqa S.A.WW ka chapal mubarik airhee numa hota tha *Aap S.A.WW k na’al mubarilk ka agla hissa misal zaban k golaai leay hoay hota tha. Yazeed bin zayad sy riwayat hy k main ny Aap S.A.WW k na’al mubarik ko daikha jo zara bareeki leay airhee dar misal e zaban k tha. * Aap S.A WW k nalain mubarik zard rang k thy.   Jouta O ChappalRead More →

 Qabristan Jany K Masnoon Aadaab  1* Zayarat e qaboor k leay jana mustahib hy. 2* Chaar din zayart k leay jana behtreen hein, hafta, peer, jumerat or juma 3* Isi tarah shab e barat, shab e qadar, eidain, or ashra e zulhajj zayarat e qaboor k leay behtreen. 4* Qabristan mein duniya ke batein na krain or moat ko yaad krain. 5* Piary Aaqa S.A.WW auk baar aik janazy k sath qabristaan tashreef ly gy or wahan qabar k kinary baith kar khoub roye or phir sahaba ko mukhatib kr k farmaya, “is din ke tayari kro” 6* Qabristan mein jouty outar kar daakhil honRead More →

 Washroom Mein Dakhil Hony Or Nikalny k Aadaab Islam ny safaai or taharat ke jitni takeed ke hy kisi or mazhab mein nahi ke gae. Ibadaat or khas tor par namaz ke qabooliyat ka daromadar taharat par hy. Isi leay Piary Aaqa S.A.WW ny ummat ko baitul khala meun jany or bahir aany ka tareeqa bhe bta deya hy. Is leay jab koe baitul khala mein daakhil ho tou yeh dua parhy… Aey Allah main khabees jinno or jin’nion k shar sy panaah maangta hon. Baitul khala sy nikalty hoay yeh dua parhein. Sab hamd Os Allah k leay jos ny mujhy aziyat sy bachaRead More →

Khany K Leay Baithny Ka Masnoon Tareeqa  Khany k baithny ka masnoon tareeqa yeh hy k ya tou dono ghutno k bal baithein ya daaein taang ko khara kr lain or baein ko bicha dain. Zaaid ul miyaad mein likha hy k Aap S.A.WW sureen k bal baithty thy or baein pair k talway ko daein pair k ouper rakhty thy. Yeh tareeqa Aap S.A.WW adab k tor par ikhtiyar farmaty thy. Baithny ka yeh tareeqa sub sy afzal or nafa bakhsh hy.   Khilaaf e sunnat Khany K Aadaab  * Jis khany pat Bismillah na parhi jaye ous mein barkat nai hoti. * JisRead More →