Sony jaagny k adaab Neend ALLAH ki nematon mein sy aik nemat hy sony sy jisam ko rahat milti hy naqahat or thakaan door hoti hy.. 1..ishaa ki nimaz parhny sy pehly nahi sona chaheay.. 2..AAP SAWW takeed farmaty k sony sy pehly agr wozoo ho tu behtar hy 3..soty waqt charaagh ko bujhaa dena chaaheay 4..soty wsqt jalti aag ko bujhaa dena chaheay kiun k ho sakta hy k soty hoay is sy kisi tareeky sy nuqsan ponch jaey is leay angheethi jala kr nahi sona chaheay na gess heetar waghera jalta hoa chor kr sona chaheay kiun k jalti aag khatry sy khaliRead More →

 Step 4 Maqasid  ☆Harawal Dasta 2 ka step 4 “Moamlaat” hy. ☆Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ke zindgi har tara sy hamaray leay aik mukamal namoona e hayat hy. Zindgi k tamam moamlat or har pehloo k hawalay sy Piaray Aaqa S.A.WW ke zindgi ummat k leay uswa e hassna hy. ☆Zindagi ke aadat o atwaar mein sunnat e Nabvi S.A.WW sy aashnai hasil karnay k baad training k is marhalay mein zindagi k mukhtalif moaamlaat mein Piaray Aaqa e Do aalam S.A.WW k pairvi amli taor par karnay ke tarbiyat de jati hy kion k billa shuba AAP S.A.WW ke it’taba he hamariRead More →

Taqwa  Hazrat Ali r.a farmaty hein, “Ma’siyat par israr na krna or ibadat par maghroor na hona taqwa hy. Hazrat Abu Hafs r.a k nazdeek khalis or halal e mehz k saath he taqwa qaaim rehta hy. yeh kasooti hy. Darasal akal e halal he taqwa ke rooh e rwaan hy or yehi taqwa ke mazboot or thous buniyad hy. Agar doodh ya shehad sy bhary hoay matky mein khumar (sharab) ka aik qatra dal deya jaye tou wo napaak ho jata hy halan k matky k andar mojoud shehad ya doodh ke nisbat aik qatra khumar ke koe hasiyat nai rakhta… yehi haal rizqRead More →

TAWAKAL Twakal ka mafhoom yeh hy k kisi maqsad k hasool k leay nahayat ijz o inkisaari sy tamam mumkina asbab ko broor e kaar laaty hoay sirf Allah par bharosa keya jaye. Twakal k maani yeh nai hein k Allah k paida keay hoay asbab o halaat ko chor dy balky murad yeh hy k asbab e ikhtiyaria ko zaroor ikhtiyar kry magar bharosa asbab par karny ke bjaye sirf Allah par kry k jab tak Oss ke mashiyat o irada na ho jaye koe kaam nai ho sakta. Twakal aisa shajar e be’khizan hy jis ko zuhad ka paani daina parta hy kionRead More →

AAJIZII Aajizi ka matalb yeh hy k insan mein takabur or gharoor paida na ho, har shakhs dousry ke izat kry or apni kami, kotahi or kamzori ka eitraaf kry. Aajizi yeh hy k zameen par inkisari k sath chalna…. yani seena taan kar mutakabirana chaal sy dour rehna. Aajizi Allah k khas bandon ka wasf hy. Logon sy baat krty hoay be rukhi na ikhtiyar ke jaye. Zameen par akar kar na chala jaye, aawaz mein taizi or sakhti na ho k kibr o gharoor tapky. Gharz zindagi k har moamly mein aajizi ka zahir ho yehi Allah k piaray bandon ke nishani hy.Read More →

EHSAN KARNA  Bazurgaan e deen k nazdeek ehsan ka darja adal sy barh kar hy. Adal yeh hy k kisi ko itna daina jitna oun ka haq hy or itna laina jitna ous ka apna haq hy. or ehsan yeh hy k jitna ous ka haq hy ous sy ziada dy or jitna ous ka haq hy ous sy kam ly. Adal yeh hy k kisi ny kisi ko izaa pohanchaai tou wo ous ko intni he izza pohanchaye or ehsan yeh hy k ous ke ziadti ko moaaf kr dy or ous k saath naiki kry. kisi ke naiki k badly mein itni heRead More →

   MASAWAAT O BHAI CHARA  Islam mukamal toar par masawaat ka dars daita hy. Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny hajatul vidaa k mouqa par famaya, “Aey logo…!!! tumhara rab aik hy, tumhara baap aik hy, khabardaar kisi arbi ko ajmi par pr kisi ajmi ko arbi par koe fazeelat nai or kisi gory ko kaly par or kaly ko gory par magar taqwa k sabab” Islam ny khol kar biyan kr deya hy k har koe brabar hy or kisi ko maal o doulat ya hasb o nasb ke wajah sy aik dousry par koe bartari hasil naiRead More →

HUSAN E SALOOK SY PAISH AANA Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya, “Maizaan e amal mein husn e salook sy wazni koe amal nai” Hazrat Abu Huraira r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya, “Main behtreen ikhlaaq o aadaat k itmaam k leay bheija geya hon” Husaan e salook yeh hy k apny ouper zulm krny walon ko moaf kry, jo ousy na dy tou wo ousy dy, jo ous sy laraai rakhy tou wo ous sy jory. Aik or hadees e mubarika mein hy k, “Qayamat k din mery sub sy ziada mehboob or meri majlis mein mein sub sy ziada qareeb woRead More →

 EHAD Ehad ka matlab hy kisi wady ke hifazat krna or har haal mein ous par qaaim rehna hy. Ehad ko poura krny ka hukm deya geya hy is sy muraad mo’aahida hy, do fareeq k darmiyan kisi kaam k karny ya na krny ka ehad or jo koe shakhs kisi taraf sy yaktarafa wada kar laita hy k main aap ko falan cheeze doun ga ya falan waqt aap sy loun ga , ya falan waqt aap sy milon ga ya aap ka falan waqt tak kaam kar doun ga tou ous ka poura krna farz hy. Ehad ya wady ka zindagi k harRead More →

 BACHON SY MOHABAT Islam ke ikhlaaqi taleem mein mohabat o shafqat ko khas ehmiyat hasil hy. yeh insan k buniyadi ikhlaaq mein sy hy. Jis mein shafqat o mohabat ka maada nai wo islam tou keya inasani daairy sy bhe kharij hy. Beraham, insan nai ho sakta. Mohabat o shafqat ke wajah sy insan aik dousry sy ri’aayat karta hy or ous sy marboot hota hy hoya shafqat o mohabat bahmi moaashrat ke asal buniyad hein. Allah k khas naamon mein sy Rehman o Raheem hy. Allah ny apny is wasf sy juzvi tor par bandon ko bhe nwaza hy jis ka numayan asar waldainRead More →