Mutehqeen E Zakat Musarif e zakat sy muraad wo mustehqeen hein jinhein sharan zakat ada ke ja sakti hy. Quran e pak mein sorat Touba, aayt 60, mein zakat k aath (8) masarif bataye gay hein. Tarjuma:- “Yeh sadqaat (zakat) sirf faqeeron, miskeenon, ous k wasool krny walon k leay or oun k leay jin ke taleef e qalb matloob ho, gardan churany mein, qarzdaron k leay, Allah ke raah mein or musafiron ko daina Allah ke taraf sy farz hy or Allah ilm o hikmat wala hy” 1* FUQRA… Fuqra faqeer ke jama hy jis k ma’ani hein mohtaj yani wo shakhs jis kRead More →

HAJJ K Maani O Mafhoom Hajj k lughvi maani irada krna or ziyarat krny k hein. Shariyat ke istelah mein hajj sy murad aisi makhsoos ibadat hy jo makhsoos ayaam or ouqaat mein sirf maaldaar or sahib e hasiyat musalman par farz hy jis mein ousy hukm deya geya hy k wo apni zindagi mein kam az kam aik baar khana ka’aba ka qasad kry or ehraam bandh kar zil hajj ke 8, 9, or 10 tareekh ko khana ka’aba ka twaaf kry phir muqadas maqamaat par ja kr sharaee amaal o manasik baja laaye.   Hajj Ke Farziyat Hajj islam k paanch arkaan meinRead More →

Manasik E Hajj Hajj k rasoom o amaal ko manasik kaha jata hy. Hajj k eham manasik darj zail hein. Jab koe hajj k irady sy nikalta hy tou Makkah sy kafi dour aik mutaein maqam par pohanch kr jisy “MIQAAT” kehty hein aam istamaal k kapron ke bjaye ehraam baandh leya jata hy. Ehraam do unsili chadron ko kehty hein. Mard ky liye aik chadar tehband k tor par baandh li jati hy or douari jism k gird lapait li jati hy. Ehram baandny sy qabal ghussal ya wazoo keya jata hy phir do rak’at namaz ada ke jati hy. Yaan sy hajj kRead More →

 Hajj Continued  Msg 5 9. WAQOOF E ARFAAT 9 zilhajj ko hajiii mina sy arfaat k maidan mein jaty hein. Is din ko youm e Urfa kehty hein. yahan tamam haji zwaal e aaftaab sy ly kar gharoob e aaftab tak duaon mein masroof rehty hein. Arfaat Makkah Mukarma sy choda meel k faasly par aik wasee o areez maidan hy. Jabl e rehmat isi maidan mein hy. Yaheein jabl e rehmat k pass khary ho kar ameer e hajj hajj ka khutba daity hein. isi pahar k pass Piary Aaqa S.A.WW ny khutba haja tul wida irshad farmaya. Hazrat Aadam i Hawa a.s keRead More →

Jehad K Maani O Mafhoom Jehaad ka lafz juhad sy nikla hy jis k maani koshish or mushaqat k hein. Islaam mein jehaad sy muraad wo koshish hy jo deen ke hifazat o faroogh or ummat e muslima k difaa k leay ke jaye is k ilawa nafsaani khawaishaat k khilaaf or khair k ghalby or sharr ko mitany k leay koshish jehaad kehlati hy. Jehad ke fazeelat k bary mein Allah ny farmaya:- sorat Al-saf aayt 2 “Allah oun logon ko pasand krta hy jo ous ke raah mein qitaar baandh kar larty hein goya wo seesa pilaai hoe deewar hein”   Jehad KeRead More →

Jihaad Continued Msg 4 2. JEHAD BIL SAIF jehad ke dousri qiam wo hy jis mein ehl e emaan apni jaan jo maal sy barh kr piari hoti hy Allah ke raah mein paish kar daity hein. Jab dushman islam or islami riyasat ko khatam krny k leay charhai kr dy tou ous k muqabil apni jaan qurban krny k leay bahir nikal aana jehad bil saif hy. Jehad bil saif k leay nikalny wala raah e haq mein har qism ke jismani takleef ko khanda paishani sy bardasht krny k leay tayar rehty hein. Oun ke sub sy bari khawaish yehi yehi hoti hyRead More →

Step 3 MAQASID ● Harawal Dasta 2 Training ka step 3 “Sunnat e Nabvi S.A.WW hy” ● Sunnat lughat mein aadat ko kehty hein. shariyat mein Piaray Aaqa e dou Jahan S.A.WW k adaat o atwar or Aap S.A.WW k amal mubarik Aap S. A.WW ke sunnat mubarik kehlatay hein. Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya, “Tum par meri sunnat lazim hy”. ● HD 2 k is marhala mein sunnat e Nabvi S.A.WW sy moutaliq ilm o aashnai dy kar Piaray Aaqa S.A.WW ke oun piari piari sunnaton sy roushanas karanay ke koshish ke jati hy jin k baray mein aam taor par, aik ummati honayRead More →

Sunnat e Miswak  Miswak Piary Aaqa S.A.WW ke sunnaton mein sy aik bohat he piari sunnat hy. *MISWAK Pakarny Or Karny KA TAREEQA*  Miswak shuru krny sy pehly dho lain or seedhy haath mein is tarah pakrain k darmiyan ke teen oungliyan miswak k ouper or angoutha miswak k siry par ho. Kam az kam teen baar ouper or neechy or daaeib baaein miswak krain or pehly seedhi taraf ouper k daanton par miswak krain or phir seedhi taraf neechy k daanton par or talu par krain. Aisy he ulti taraf krain. Har martaba miswak krny k baad ous ko dho lain or miswak isRead More →

Miswak K Silsila Mein Aap S.A.WW Ka Uswa e Hasna 1* Aap S.A.WW ja bhe namaz k leay ghar sy nikalty tou miswak farmaty. 2* Jab ghar mein dakhil hoty tou sub sy pehla kaam miswak krny ka karty. 3* Raat ko Aap S.A.WW k bistar par he miswak rakh deya jata. Allah pak jab chahta Aap raat ko outhty, miswak karty, wazoo farmaty or namaz parhty. 4* Teen ouqaat mein Aap S.A.WW miswak ka ehtamam farmaty… i.Raat ko soty waqt ii.Jab raat k kisi pehar outhty. iii. Jab subah namaz k leay tashreef ly jaty. 5* Aap S.A.WW masjid mein bhe miswak or kangheeRead More →

 Salam “Salam” Allah ka asma e husna mein sy hy. Jab aik musalman kehta hy Asalam o alikoum tou is ka matlab hy k tum Allah ke hifazat or ra’aiyat mein raho, jia tarah Allah apny ilm or qudrat k zariye tumhary sath hy or Allah tumhary saath ho. Salam K Bary Mein Piary Aaqa S.AWW Ke Chand Ahadees E Mubarika * Hazrat Abu Huraira sy riwayat hy k Aap S A.WW ny farmaya k… “Tum jannat mein nai ja sakty jab tak poury momin na ho jao (yani pouri zindagi emaan walai na ho jaye) or yeh nai ho sakta jab tak tumhari aapasRead More →